Thursday, June 9, 2011

Hijar kay musam main



Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa?
Ik sehra se sumandar ka guzarna kaisa?

Ayee mere dil na pareshan ho tanha ho kar,
Wo tere saath chala kab tha-Bicharna kaisa?

Log kehte hain gulshan ki tabahi dekho,
Main to veeran sa jungle tha-Ujarna kaisa?

Dekhny may to koi dard nahi,
Phir ye ankho may youn ashko ka ubharna kaisa?

Bewafa kehne ki jurrat b na karna,
Us nay iqraar kiya kab tha - Mukarna kaisa?



No comments:

Post a Comment