Saturday, April 28, 2012

Mohabbat !!



"Kabhi Jazbon
kabhi khuwabon ki
Tijarat kar ke,

Dil ne Dukh Dard
Kamaye hain
MUHABBAT kar ke

Tum Jab Aao ge to
Mehfooz Milen ge
Tum ko,

Hum ne Dafnaye
hain kuch khuwab
amanat kar ke

ek zara si bhool hui
or usay kho bhete

Hum ne paya tha
jise barson ibadat
kar ke"

Thursday, April 26, 2012

Aankhien

Ziddi Khawabon Ko Noochna Chaha....
Maine Rakh Dii Udhaair Kar Aankhain...
.

yaar Bhi rah ki deewar !

Yaar bhi raah ki deewar samjhtay hein mujhe..

Mein samjhta tha mere yaar samjhtay hein mujhe..

Mein to youn chup hoon k ander sey Boht khali hoon..

Daikhnay walay pura'srar samjhtay hein mujhe..

Mein to badaltay huye halaat mein dhaal jata hoon..

Aur saab log adakaar samjhtay hain Mujhey...

Wo jo us paar hain un key liye is paar hoon mein..

Wo jo is paar hein, us paar samjhtay hein mujhe..

Naik logon mein mujhe Naik Ginna jata hai..

Aur Gunah'gaar, Gunah'gaar samjhtay hein mujhe.. !


(Jaun Elia)

Khuwab posh aankhon mein

Khuwab posh aankhon mein,

Aansuon ka bhar jana,

Hasraton k sahil pr,

Titlion ka mar jana,

Habs ki hawaon men,

Khushbuon ka darr jana,

Dil k garm sehra men,

Hashar barpa hojana ,

Dard la-dawa hona,

Kya bohat zaroori tha,

Ab tera “judaa hona”???

un jheel si gehri ankhon main


un jheel si gehri ankhon main 
ik shaam kahin aabaad tou ho 

us jheel kinaaray pal do pal 
ik khwaab ka neela phool khilay 
woh phool baha dain lehron main 
ik roz kabhi hum shaam dhalay 
uss phool kay behtay rangon main 
jis waqt laraztaa chaand chalay 

uss waqt kahin un ankhon main 
uss basray pal ki yaad tou ho 
un jheel si gehri ankhon main 
ik shaam kahin aabaad tou ho 

phir chahay umar samandar ki 
har moj preshaan ho jaaye 
phir chahay aankh dareechay say 
her khwaab guraizaan ho jaaye 
phir chahay phool se chehray ka 
her dard numayaan ho jaaye 

uss jheel kinaray pal do pal 
woh roop-nagar iijaad tou ho 
din raat kay iss aaieenay say 
woh aks kabhi aazaad tou ho 
un jheel si gehri ankhon main 
ik shaam kahin aabaad tou ho

Hum Akser Sab Se Kehte Hain Kyun Khuwab Adhoorey Rehte Hain.. Kyun Yaad Kisi Ki Aati Hai Kyun Dard Jiger Mein Hota Hai.. Kyun Qadam Behakne Lagte Hain Hum Jub B Chalne Lagte Hain.. Kyun Palken Num Ho Jati Hain Hum Jub B Hansne Lagte Hain.. Akser Raaton Ki Tareeki' yaadon K Zeher Ughalti Hai.. Kyun Hijer Ka Mausam Aata Hai Jub Vasl Ki Baaten Hoti Hain.. Kyun Log Dewane Hote Hain' Kyun Dard Hazaron Sehte Hain.. Hum Akser Sab Se Kehte Hain Kyun Khuwab Adhoore Rehte Hain.


Hum Akser Sab Se Kehte Hain 
Kyun Khuwab Adhoorey Rehte Hain..

Kyun Yaad Kisi Ki Aati Hai 
Kyun Dard Jiger Mein Hota Hai..

Kyun Qadam Behakne Lagte Hain 
Hum Jub B Chalne Lagte Hain..

Kyun Palken Num Ho Jati Hain 
Hum Jub B Hansne Lagte Hain..

Akser Raaton Ki Tareeki'
yaadon K Zeher Ughalti Hai..

Kyun Hijer Ka Mausam Aata Hai 
Jub Vasl Ki Baaten Hoti Hain..

Kyun Log Dewane Hote Hain'
Kyun Dard Hazaron Sehte Hain..

Hum Akser Sab Se Kehte Hain 
Kyun Khuwab Adhoore Rehte Hain.....

Sunday, April 22, 2012

Muhabbat to nahi marti..


Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti..
Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai ..

Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai ..
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein..

To yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho gi..
Nahi aise nahi hoga ..

Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein..
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye..

To bas itna samaj lena,
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai..

Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai ..
Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai ..

Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai ..
Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti..

Usay kehna bicharne se Muhabat to nahi marti..!!!

Dastaan


Tum , Tum , Tum aur sirf Tum. . . ,

Lo khatam hui meri Daastaan. . . ! ! !

Aashna

Merey Aashnaa Bhi ajeeb They,

Na Rafeeq they na raqeeb they !!

Muhabbat Hai


MUHABBAT Hai''
Mujhay apni tanhai say,
Jo mujhay tumhari yaad k kareeb krti hai.
''MUHABBAT Hai''
Mujhay un Khawab say,
J0 sirf tumhain daikha kartay hain.
''MUHABBAT Hai''
Mujhay guzarti raat say,
Jo beet gaye tumhari yaad main.
''MUHABBAT Hai''
Mujhay us saWal saY,
Jis ka jawab tum Hoo.
''MUHABBAT Hai''
Mujhay apnay diL say,
Jo dharakta hai srf Tumharay liay.
''MUHABBAT Hai''
Mujhay apni sans say,
Jis main sirf tumhara Naam Basa hai.

Thursday, April 19, 2012

Us Ne Jo Dikhaye



us nay jo dikhaye thay 
be khawab aankhon ko 
khawab ab ke wo saray 
is tarah se tootay hain 
jis tarah koi shesha 
hath se Gir ker 
kirchi kirchi ho jaye 
ja-baja bikhar jaye 
ab aisay khawaboon ko 
chun ke hum nay kia kerna 
kirchioon ko chun-nay se 
poorain zakhmi kia kerna 
tootay hoay khawaboon ko 
aankhoon main ab kia bharna 
ab jo in khawaboon ko 
aankh main basaya too 
aankhain andhi ker baitho gay 
khud ko tanha ker baitho gay 
aao ke yoon kertay hain 
phir se dil ki suntay hain 
tootnay bikarnay ko 
koi ehd kertay hain 
phir se khawab buntay hian...

Ek Baat


Ek baat Sunti Ho To Sunti Jao
Mohabbet Mein 
Khushi 
Ghum
Tanhai
Ruswai
Be-Perwahi
Doori to hai
Lekin mohabbet ki bina zindagi
Adhuri Buhut Adhuri Hoti Hai

Mohabbat


Tum Laffz “Mohabbet” Se Abhi Koso Door Ho

humne kaha tha na jana

Dil Mein Jallan
Soo’cho Mein Chubhan
Chere Pe Shikkan
Ankhon Mein Thakkan
Lehje Mein Ghuttan

Tum Laffz “Mohabbet” Se Abhi Koso Door Ho

Aakhri Dam


Koi rishta bana kr mutma'in hona nahi acha...
Mahabbat aakhri dam tk ta'lluq aazmati hai...!!!

Kitaab-e-Mohabbat


Kahan ke maktab o mula kahan k dars o nisab
Bs aik kitab e muhabat rahe hay baste main

Aik Khwaish


Aik Khwaish……..!

Ik aam adhori khwaish hai
Meri roshan roshan subhon ko..
Teri chaht ki her sham mily..

“MERY NAAM KO TERA NAAM MILY”

Wednesday, April 18, 2012

Lutf-e-Dozukh

Lutf-e-dozukh b lutf-e-jannat bhi
Haye kya cheez hy muhabbat bhi !!

La Ilaaj

Nahi hota Kisi Tabeeb se iss Marz ka ilaaj ,,
Ishq La ilaaj hai Bas ehtiyaat kee jeye ...!

Yaad


Baad-e-Saba ja tu hi khabr la un ki “KHUDA” Khair Krey…..!

Es Qadar wo meri Yaad se Gaafil Kabhi Huwa To Na Tha…!

Udaasi Kay Ufaq Per


Udasi kay ufaq per jab teri yaad kay 
jugnoo chmanktay hain
To meri rooh per hijar ka rkha hoa pathar
Chamakti baraf ki soorat pighlta hai
Agarcha yun pighlnay sey
yeh pathar sangreza to nhi banta
Magr ek hosla sa dil ko hota hai
Kay jaisay sar basar
Tareek shab main bhi
Agar ek zard ro sehma hoa tara nikal aye
To qatil raat ka bey isam jadoo toot'ta hai
Musafir kay safar ka rasta to kam nahi hota
Magr taray ki chilman say
Koi bhoola hoa manzar achanak jagmagata hai
Sulagtay paon main ek aabla sa phoot jata hai

Muhabbat hum nahi kartay

Muhabbat hum nahiN kartay !

tumhain aisa kyon lagta hai?
keh hum khud dhoondtay hein apnay rishton ko
Suno! kabhi aisa nahiN hota
tumharay aur mere chahnay se kuch nahi hota
keh sab rishtay,sabhi bandhan
kahin pehlay se rakhay hein
woh saray aanay walay pal
jo aakhir beet jatay hein
woh sab pehlay se rakhay hein
saray pal,sabhi rishtay,sabhi mousam
muhabbat bhi tau lamha hai,muhabbat bhi tau mousam hai
yeh kis ke dil pe utray ga
kahan per kab khulay ga,kon si galiyon main mehkay ga
na janay kon sa dil iss ke rangon main fana ho ga
na janay kon iss lamhay ko patay hi
ghani tareek galiyon ki musafat se raha ho ga
wazahat hum nahi kartay
muhabbat hum nahiN kartay
keh yeh tau jadoogarni hai
jo hum ko dhoond leti hai,hamain pehchan leti hai
kisi masroof kamray main parri bekaar cheezon se
yeh hum ko chaan leti hai
hamari ungliyon ke nakhnon main saans leti hai
kabhi jab zakhm khulta hai
bason aur daftaron ki bheer main bhi yeh
hamaray saath rehti hai,hamaray saath chalti hai
lahoo ki dhoop main chup chaap jalti hai
hina ki khusbo'on main jab utarti hai
hamari jaan leti hai
naye mousam,naye sooraj,sitaray aur khushboo
yeh hum ko soanp deti hai
koi aezaz jis ka maan rakhna farz hota hai
yeh hum per bojh banti hai
yeh hum per qarz hota hai
kahan kis per nichawar jaan karni hai
yeh chahat hum nahi kartay
Suno!
muhabbat hum nahiN kartay

Tabassum

Ek Taghaful Se,
Ek Tawajjo Tak
Ishq Aansu Bhi Hai,
Tabassum Bhi.....

Tuesday, April 17, 2012

Ye tumhari inayat thi

Tanhai K Sehra Main,
Yun Chor K Chal Dena!
Choti C Shikayat Par,
Monh Mor K Chal Dena!
Ye Kesi MOHABBAT Hai?
Ye Kesi Rafaqat Hai?
Gar Pas-e-WAFA Rakh Kar,
Tum Maan Barha Dete!
Be'Laus Rafaqat Par,
Emaan Barha Dete!
Main Fakhar Se
Phir Kehta!
Tum
Jaan-e-Rafaqat Ho!
Tum
Baab-e-MOHABBAT Ho!
Tehreer-e-Sadaqat Ho!
Ye Sub Hai
Magar Tab Bhi!
Hai Mujhko Yaqeen Ab Bhi!
Jo Kuch Bhi Kaha Main ne!
Shikwa Hai
Shikayat Hai
Lekin Ye Haqeeqat Hai!
Bus Tumse
MOHABBAT Thi!
Aur,,,
Tumse MOHABBAT Hai!
Jo Kuch Bhi Kaha Tumne!
Jazbaat Ki Shiddat Thi!
Ye Tumhari Inayat Thi!
Ye tumhari inayat thi!

Khuwab Sajany Wali Aankhain

khuwab sajane wali aankhain
pal bhar mein banjar ho jain
rasta takte takte thak kr
umeedain pathar ho jain
bhooli bisri sari batain
main bhi shayed yad bna loon
bhool ke apne dukhre saare
honton pe muskaan saja loon
tum dhoondo phr mujh mein mujh ko
or main khud mein gum ho jaon
aisa bhi to ho sakta hy
main bhi ek din tum ho jaon !!!

Maseeha Soch Lay Ab Bhi

Maseeha soch le ab bhi
nigah-e-naz ne teri
mujhe pathar bana dala
bazahir devta hun main
mgar hun be-nawa ab hi
takallum main nai rakhta
tasarruf main nai rakhta
abi tak na-mukamal hun
meri takmeel tum se hy
maseeha soch le ab bhi
mera be-rang sa chehra
meri be-noor si aankhain
tujhe awaz deti hain
barha dast-e-sawal apna
k is pathar ki rag rag mein
ravan hon khoon ki lehrain
maseeha soch le ab bhi
mujhe teri zarurat hy......

Yaad

Karta Tu Hai WOh Yaad Mujhe Chahat Se Magar
HOta Hai Ye Kamal Badi MuddatOn K Baad ..!

AY CHAND KI KIRNOO JAO NA

AY CHAND KI KIRNOO JAO NA........!
Ay chand ki kirno jao na.....!
Tum us ko choo kar aao na....!
Wo kab kab kya kya kerta hai....?
Wo jagta hai ua sota hai....!
Wo kis sy batein kerta hai....!
Wo sham ko kaisa lagta hai....!
Wo raat ko kaisa dikhta hai....!
Jab soy kesa lagta hai......!
Jab jagy kaisa dikhta hai....!
Tum chupkey chupkey jao na....!
Tum us ko choo aao na.....!
Hum us k bin adhory hein.....!
Aur jina mushkil lagta hai....!
Tum kaan mein usk keh dena....!
Koi yaad bohat usy karta hai...!
Ay chand ki kirnoo jao na....!
Mere chand ko chuo aao na...!

Shaffaaf

Shafaf ho gaein sb oonchi haweliya'n!
EK jhonparhi ki cchat na rhi ßarishon k bad..

Muqaam

Kon daita hai muhabbat ko pursatish ka muqam,
Tum ye insaf se pocho to dua do hum ko ...!!

Tujhay Sochon

Tujhey soochun tou pahlu sy sarak jata ha dil mera,
mein dil py haath rakh kar dharkanein tarteeb deta hun !!

Janab-e-Ishq

janab-e-ishq, kahin oar ja ker bus jayen...
mai thuk chuki hun, meri muhabbat ka Khuda Hafiz

Monday, April 16, 2012

Pura Dukh Aur Aadha Chaand

Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha ho ga chand

Meri karawat par jag uthe
Nend ka kitana kacha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apney ishq may sacha chand

Rat k shayad ek baje hain
Sota ho ga mera chand...!!!

Ek Chaand Tanha Khara Raha

Ek Chand Tanha Khara Raha
Merey aasmaan se zara pary,

Merey saath saath saffar mei tha
Merii manzilloon sey zara pary,

Terii justujuu ke hisaar sey
Terey khwaab terey khayal sey,

Maii wo shakhs thaa jo khara raha
Terii chaahatoon sey zara pary,

Kabhi dil kii baat kahi na thi
Jo kahi to wo bhi dabee dabee,

Merey lafz poorey to they magar
Teri samaa'toon sey zara pary,

Tuu chalaa gaya merey hamsafar
Zara daikh murr ke to eik nazar,

Meri kashtiyan hain jali hui
Terey saahilon sey zara pary

Poora Chaand

tanha tanha lagta hai, aadhi raat ka pora chaand
dil se baate'n karta hai, aadhi raat ka pora chaand

tu jo aana bhool gaya, ahd nibhana bhool gaya
tera rusta takta hai, aadhi raat ka pora chaand

us ke pyaar me'n kho'ey ham, uski khatir ro'ey ham
dekh ke aksar hansta hai, aadhi raat ka pora chaand

such ye hai, paraya hai, phr be dil ko bhaya hai
baat meri kab sunta hai, aadhi aat ka pora chaand

ik din thi tanhai bohat, yaad tumhari aai bohat
bilkul tum sa lagta hai, aadhi raat ka pora chaand

Muhabbat Yaad Rakhti Hai

wisal-o-hijr mein
ya khuwab se mehroom ankhon mein
ksi ehd-e-rafaqat mein
k tanhai k jungle mein
khayal-e-khal-o-khad ki roshni k gehre badil mein
chamakti dhoop mein ya phr
ksi be-abr saaye mein
kahin barish mein bheegte jism-o-jan k
nasr paron mein
kahin honton mein sheron ki mehekti aabsharon mein
charaghon se saji shamon mein
ya be-noor raton mein
seher ho ronuma jaise kahin baton hi baton mein
koi lipta ho jis tarah
sandal ki khushboo mein
kahin pr titliyon k rang tasweerain banate hain
kahin pr jugnoun ki muthiyon mein roshni
khud ko chupati hy
kahin kesa hi manzar ho
kahin kaisa hi mausam ho
tere sare hawalon ko
teri sari misalon ko
mohabbat yad rakhti hy
mohabbat yad rakhti hy...

Sunday, April 15, 2012

An'a

jab MUHABBAT ka janoon tha tab zamana or tha,
ab masla ana ka ha wo khod chal ky ay ga.........!

Ishq

Wasta husn se ya shiddat-e-jazbat se kia?
ishq ko tere qabelay ya meri zaat se kia?

meri masrouf tabiyat bhe kahan rook saki
wo tu yaad aata hai usko mere din raat se kia?

piyas daikhon ya karoun fikar k ghar kacha hai
soch main hon k mera rishta hai barsat se kia?

jis ko khadsha ho k mar jaen gain judai se wo
sochiye usko kise or k halaat se kia?

aaj usay fikr k kia log kahen ge "Hammad"
kal jo kehta tha mujhe rasm-o-riwayaat se kia?

Hum Ko Acha Laga

Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga !!

Tera Husan Ho

Tera Husan Ho
Mera Ishq Ho,

To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho,
Kbi Mein Milon, Kbi Tu Miley,

Kbi Hm Milen Mulaqat Ho,
Kbi Tu Ho Chup, Kbi Mein Hon Chup,

Kbi Dono Hm Chup Chap Hon,
Kbi Guftgu,
Kbi Tazkrey,
Koi Zikar Ho,
Koi Baat Ho

Kbi Saath Mein,
Kbi Saath Tu,

Kbi 1 Dujay Ka Sath Ho
Rahen Muskraty Pyar Mein,

Khilen Phool Bn K Bahaar Me,
Na Zameen Koi,
Na Falak Koi,
Na Wajood Ho,
Na Hi Zaat Ho,

Tera Husn Ho,
Mera Ishq Ho,
To phir Husn_o_Ishq Ki Baat Ho.

Khuwab

Maana k adhooray rehtay hain,,,,
Per khuwab to sb k hotay hain,,,,,,,,,,!

Tumharay Ishq Mein

Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa
Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa,

Agar Mujhe Na Milein Tum Tumhaare Sar ki Qasam
Main Apani Saari Jawaani Tabaah Kar Loongaa,

Mujhe Jo Dair-o-Haram Mein kaheen Jagah Na Mili
Tere Khiyaal Hi ko Sajdaagaah Kar Loongaa,

Jo Tum Se kar Diyaa Mehroom Aasmaan Ne Mujhe
Main Apani Zindagi Sarf-e-Gunaah Kar Loongaa,

Raqeeb Se Bhi Milongaa Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loongaa,

Tumhaari Yaad Mein Main kaat Doongaa Hashr K Din
Tumhaare Hijr Mein Raaten Siyaah kar Loonga,

Hareem-e-Hazrat-e-Salamaa ki Simt Jaataa Hoon
Howa Na zabt To Chupake Se Aah Kar Loongaa,

Yeh Naubahaar Yeh Abr-o-Hawaa Yeh Rang-e-Sharaab
Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loongaa,

kisi Haseenaa Kay Masoom Ishq Mein
Jawaani kiya Hai Main sab kuch Tabah Kar Loongaa.

Ek lafz-e-mohabbat ka adna saa fasana hai


Ek lafz-e-mohabbat ka adna saa fasana hai
simte to dil-e-aashiq phaile to zamana hai

Ye kis ka tasavvur hai ye kis ka fasana hai
jo ashk hai ankhon mein tasbeeh ka daana hai

Ham ishq ke maaron ka itna hi fasana hai
rone ko nahin koyi hansne ko zamana hai

Wo aur vafaa-dushman maanege na maana hai
sab dil ki sharaarat hai ankhon ka bahaana hai

Kya husn ne samajha hai kya ishq ne jaana hai
ham khaak-nasheenon ki thokar mein zamaana hai

Wo husn-o-jamaal un ka ye ishq-o-shabaab apna
jeene ki tamannaa hai marne ka zamana hai

Ya wo the khafa ham se ya ham the khafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

Ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein
masoom mohabbat ka masoom fasaana hai

Ankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain
nazuk si nigaahon mein nazuk sa fasaana hai

Hai ishq-e-junoon-pesha haan ishq-e-junoon-pesha
aaj ek sitamagar ko hans hans ke rulaana hai

Ye ishq nahin aasaan itna to samajh leeje
ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai

Aansu to bahot se hain ankhon mein 'Jigar' lekin
bindh jaaye so moti hai rah jaaye so daana hai

Roz-o-Shab yun na aziyat me guzare hote

Roz-o-Shab yun na aziyat me guzare hote
Chen Ajata Agar Khel k Haare Hote


Khud se fursat hi mayasar nai hai Warna
Hum kisi aur k hote to tumhare hote

Tujh ko bhi gham ne agar theek se barta hota
Tere chehre pe khad-o-khaal hamare hote

Aik bhi moj agar hamari hamayat krti
Maine us paar kai log utaare hotey

Lag gai or kahin umar ki ponji warna
Zindgi hum teri dehliz pe haare hote

Kharch ho jate isi ek mohabat mein Qateel
Dil agar aur bhi seene me hamare hote..

Azaab Apney

Azaab Apnay.
bichartay lamhon ki
jald baaz rut main

jab usk honton ki narm chaoon
mujhay judai ki dhoop de kr
hawaas ki unglion se
daman churaa rahi thi

tamam rasmon
tamam qasmon
ki jalti shammain
bujhaa rahi thi

main uski aankhon main
chor aaya tha khawab apnay
wo khawab jinki tamazaton main

"tamam sach tha"

wo khawab takmeel e arzoo ki nishanian thay
wo khawab meri wafa ki ujli kahanian thay


main sochta hun

k ab kabhi chandni main bheegi hui hawain
jab uski aankhon se
neend ka kuch khumaar' uskey badan ki khushboo se choor
koi peyaam lain

to main bhi mangon hisaab apnay
main uski aankhon se muskura kr talab krun
phir se khawab apnay


main usko bheejon azaab apnay..!

Khaber

Main hoon Akhbar-e-Mohabbat meri Peeshani per
Rooz Ik aas key Marney ki Khabar Laghti Hai ... !!

Mohabbat Phir Mujh Ko Azmaney Ko Hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..................

Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..............

Mujhay tumse MUHABBAT hai

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai
Sunheri titliyaan phir se gulaabon kay labon ko choo kar aayi hain
Darakhton ki khuli banhon main saye baat kartay hain
Udaasi ashak ankhon main liye ab door nikli
Isi dhaltay hue din ki mundeeron per
Chiraagh-e-shaam jalta hai
Tu dast-e-meherbaan jaise..

Meray aanchal kay konay se wafa ka aik lamha bandh deta hai
Meray sehen-e-hunar main hurf-o- maani ki talaawat saans leti hai
Koi roshan sitarah aasmaan per muskuraata hai
Samander geet gaata hai

Kamala-e-ahd-e-masti hai
Jahaan pe mausam-e-jaan bhi hairaan lagta hai
Koi chehra meray dil kay badan se aan lagta hai
Yeh hi chupkay se kehta hai?

Mujhay tumse MUHABBAT hai
Mujhay tumse MUHABBAT hai