Urdu Poetry
Wednesday, June 6, 2012
Jashn-e-baharann
Utha ker choom li hain Chund murjhayi hui kaliyan ..
Na tum aaye tau yun jashn-e-baharann kar lya hum ne !!
Sunday, June 3, 2012
Mout
Bicharrne ki aziyat ko ager tum jaanna chaho......
Tou kuch pal ko,
Zara apni ye saans rok ker dekho,
Tumhen mehsoos ye ho ga k,
Bicharrna........
Mout jesa hai...!!!
Khush They Kuch Aise
khush Thay Kuch Aisey Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein
Manzil Ganwa Di Hum Ne Musaafat Ke Shoq Mein
Nafrat Hi Pehrey Daar Mili Har Makaam Par
Jiss Dar Pey Hum Gaey Hain Muhabbat Ke Shoq Mein
Hum Baargah-e-Ishq Mein Maqbool Yoon Huey
Khud Say Bicharr Gaey Teri Qurbat Ke Shoq Mein
Lotey Hain Abb To Saath Hai Ranj-o-Aalam Ki Bheerrh
Nikley Thay Ghar Say Ikk Musarrat Ke Shoq Mein
Apney Chaman Say Raabta Bilkul Nahin Raha
Sehra Noraad Ho Gaey Dolat Ke Shoq Mein
Daaman Mein Hasraton Ke Siwa Kuch Nahin
Aisey Lutey Hain Hum Teri Chahat Ke Shoq Mein
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Comments (Atom)