Monday, September 30, 2013

Muqaddar K Sitaron Par


Muqaddar K Sitaron Par
Zamano K Isharon Par
Udasi K Kinaro Par


Kabhi Veeran Shehron Main
Kabhi Sunsan Raston Par

Kabhi Heran Ankhon Main
Kabhi Bejain Lamhon Par

Tumhari Yad Chupkay Say
Kabhi Ser-Goshi Karti Hay

Yeh Palkain Bheeg Jati Hain
To Aansoo Toot Girtay Hain

Ham Palkon Ko Jhukatay Hain
Bazahir Muskuratay Hain

Faqat Itna Hi Kehtay Hain
Mujhay Kitna Satatay Ho

Mujhay Tum Yad Aatay Ho
Mujhay Kitna Rulatay Ho

Kaash..

Kash ab ki bar bazi palat jaye sari
Use talab ho jaye meri aur me bewafa ho jaon

Fareb-e-zaat

Fareb-e-zat sy niklo jahan k sanihay dekho
Haqiqat munkashf hogi kbi to aainy dekho



Wohi ik ajnabi jis sy taaluk sarsari sa tha
Hmary dil men hoty hen usi k tazkray dekho



Likha hy waqt ne ye b ajeeb apnay muqadr mein
Palttna he nahi jisko usi k rastay dekho




Hamen samhjo na khush itna labon ki muskarhat se
Hamari ankh me phelay hazaron hadsay dekho




Thakay haaray se bhatey thay magr teri sada sun kar
Shiksta_pa chalay aye hamaray hoslay dekho...!