Saturday, March 7, 2015

Raat darwaze pe


Raat darwaze pe

Kitni dastakon k

Zakhm the Mohsin....

Phir wahi pagal hawa 

Phir mujhe dhoka huwa....

Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

Wohi hai dharti, 
Falak wohi hai
Ye dil samunder, 
Bhanwer se naina
Yaqeen wohi hai, 
Gumaan wohi hai
Ye chand or kehkashan 
Wohi hai
Tumhari surat, 
Tumhari murat
Tumhari baatein 
Wohi hain !

Lekin ...

Buhat dinon se 
Yuon lag raha hai ..
Samaton mein uter ke ..
Suraj pighal raha hai ..

Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

Teri meri dosti ka rishta


Teri meri dosti ka rishta
aankhon aur palkon jaisa hai
Agar palak kuch der naa jhapke to
aankhen ro parti hain
Agar aankh me kuch chala jaaye to
Palak tarap uthti hai......................!!!!

Yeh Qisa bohat Purana Hai..


Yeh Qisa bohat Purana Hai..

Kuch Yad Raha Kuch yad Nahi...

JO Yad Raha...

Bus Aankhain thin

Bus Aankhain Thin.....

Kuch Khawabida, See Khawabida

Do jheel Si Gehri Aankhain thin..

Main Doob Gaya Un Aankhon Main...

Abb Is Say Zayada Yad nahi......

Tera mera rishta kesa

Tera mera rishta kesa

Is ko suljhate suljhate

Apne dil ki deewarein zakhmi ker betha hun

Rishta shayed sulajh na paye

Lekin is ko suljhane ki dhun mein

Janaa'a...!!!

Saare khawab bhula betha hun.....

Apna aap ganwa betha hun...!!!

Thursday, March 5, 2015

main us shaks ko kaise manao ga


main us shaks ko kaise manao ga mohsin
jo mujh se rotha hai meri mohabbat k sabab...

Chahat


Hum ne teri chahat ko
Dil mein aise boya tha
Dharkano mein rakha tha
Ashk mein proya tha

Yaad


suno tumhe meri yaad bhi nahi ati
jab kahe mohabbat ka zikar hota hai...

Meri Ankhain


zarori tu nahi mohabbat lafzon main biyan ho
kia sach meri ankhain tumhe kuch nahi kehti ?

Diya


Yeh Ishq Hojaye Barbaad
Aaj Mazar Per Diya Jala Kar Aya Hon...!!!

Ishq Ka Bemaar


dekhi jo meri nabz tu aik lamha soch ker
kaghaz liya aur ishq ka bemar likh diya...

Tuesday, March 3, 2015

Ye kesa Cahahton ka SilSila Hy

Ye kesa Cahahton ka SilSila Hy,

Na us Se ShikaYat Hy Na Kud Se Gila Hy,

Zindgi Kis Mor pe Le ai hy"$ÄGÄR"

Na usko Pany ke HimAt hy

Na Khony Ka HosLa hy ...!!!

be nishan manzilon ke safar par

be nishan manzilon ke safar par
kabhi niklo
to jano ge
ke hum jese musafir
kyon ghar ka rasta bhool jate hein!!!

Chalo ek nazm likhte haiN

Chalo ek nazm likhte haiN,

kisike naam karte hai, 



magar ye sochna hai ab,
ke us mein ziqr kiska ho, 



k us mein baat kis ki ho, 
ke us mein zaat ki ki ho, 



aur ye bhi farz karte hai,
ke ispe nazm likhte hai,



hamein usse mohabbat hai, 
hamare saare jazbon ko,



Bas uski hi zaroorat hai, 
chalo ek kaam karte hai,



ke hum jo nazm likhte hai,
tumhare naam karte hai,



tum hi unwaan ho iska,
tumhara ziqr hai ismein,



tumhari baat hai is mein,
tumhari zaat hai is mein...

Mujhe raayigaaN na talaash kar

Mujhe' raayigaaN na talaash kar
Ma safar ma tha
Ma safar ma hooN
Kabhii noor-e-harf ki raah ma
Mere' khush'shanaas ma aaooN ga
Mujhe' doosroN se talab na kar
Mujhe' khud se maaNg ke dekhna
Ma be'rang aks-e-gohar'numaa
Kaff-e-iltamaas ma aaooN ga
Mujhe' ab tu shaoq se bhool ja
Yahi naaz kam to nahii ke ma
Terii chaahaton ki kitaab ke
Iqtabaas ma aaooN ge

Monday, March 2, 2015

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono


Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono 

Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki 
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se 
Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein 
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se
Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter 
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha 
Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin 
Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha
Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se 
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain 
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki 
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain

Dukh chhupaye hoay hain hum dono


Dukh chhupaye hoay hain hum dono
Zakham khaaye hoay hain hum dono

Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aaye hoay hain hum dono

Tu kabhi chandani thee dhoop thaa main
Ab to saaye hoay hain hum dono

Jaisay ek doosary ko paa kar bhee 
kuch ganwaiye hoay hain hum dono

Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukaye haoy hain hum dono

Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulaye hoay hain hum dono

Ishq kaisa kahan ka ehad Faraz
Ghar basaye hoay hain hum dono.

Yeh Aansoo


Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!