Tumhara dabdaba loogon yahan sirf zindagi tuk hay
Kisi ki qabar ke andar zameendaari nahi chalti!
Tumhara dabdaba loogon yahan sirf zindagi tuk hay
Kisi ki qabar ke andar zameendaari nahi chalti!
Meri zindagi bhi is qabristaan ki tarah hay
Jahan loog tu bohat hain magar apna koi nahi
Ab Jo Khoon Daman Pe Gira Hai To Shikayat Kesi
Main Na Kehta Tha, Mujhe Door Se Maro Pathar…
Aj bohaut dukh ho raha hay haal-e-zindagi per
Kaash us se hud main reh ker mohabbat ki hoti
Pasand na aye mera saath tu humain bata daina
Mehsoos bhi na ker pao gay itna door chalay jayin gay
Us nay waqt samajh ker guzaar diya mujhay
Aur main usay zindagi samajh ker aaj bhi ji raha hon
Kaash ke woh laut aye mujh se ye kehnay
Tum koon hotay ho mujh se bichar ne walay?
Kuch logon ke hissay main mohabbat nahi ati
Kuch loog yoon hi chup chaap chalay jatay hain
Qatra qatra kerkay pighalti rahi intizaar-e-zeest
Woh kerain gay hum se raabta shayed aaj shayed aaj
Kabhi pooch ker daikh humse apni yadoon ka aalam
Saari raat sitaroon se tera zikar kiya kertay hain
Talaash ker na sako gay phir mujhay wahan jaa ker
Ghalat samajh ker jahan tum ne khodiya tha mujhay
Abhi umeed baaqi hay ke bichra howa ik shakhs
Kisi bhi moor pe aaker mujhay hairaan kerdayga!
Adam se kis liyay laya gaya hoon
Jo sach poocho to behkaya gaya hoon
Mera hona! na honay ke barabar hay!
To kiyon honay main uljhaya giya hoon
Ziddi hoon palat aata hoon phir teri gali main
Pathar to mujhay pehlay bhi soo baar lagay hain
Tujhay perdhnay ki fursat hi na mili Saaqi
Hum teray shahar main bikte rahay kitaabon ki tarah
Bakht ke takht se yak lakht utaara howa shakhs
Tonay daikha hay kabhi jeet ke haara howa shakhs
Hasratain kuch aur hain waqt ki iltija kuch aur hay
Koun ji saka hay zindagi apni marzi se
Dil chahta kuch aur hay hota kuch aur hay
Aisa haqeeqaton se tasadum howa ke phir
Main to bach gye magar meray khuwaab mar gye!
Khud ko masroof samajhte ho zara ik bat bhi sun lo
Jis din hum howe masroof tumhe shikwah bohaut ho ga
Humain Ata Hi Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna
Khud Hi Rote Hain, Tarapte Hain, Behel Jate Hain…
Meri nakamiyon per tum zara tashweesh mut kerna
Jisay kuch bhi nahi ata, mohabbat us ko ati hay
Zara sa jhoot hi kahe do ke tum bin dil nahi lagta
Hamara dil bahel jaye to tum pher se muker jana
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Sonptay Mohsin
Hum Apne Khawab Ki Khushbu, Khayal Ka Mosam…
Woh ata kary to shukr us ka woh na dy to mala nahi
Mere rab ke faisly kamal hai in faislon main zawal nahi
Nazar aur naseeb ke milny ka ettifaq aisa hai
Ke nazar ko wahi pasand ata hai jo naseeb main nahi hota
Woh na milay to kiya howa yeh ishq hai haves nahi
Main unhi ka tha unhi ka hoon woh mere nahi to na sahi
Ye sooch ker palkon main chupa laita hon aansu
Gir ker ye meri aankh se be ghar na ho jaye
Ishq Karna Hai To Phir Chak-E-Girebaan Kar Le
Hosh Walon Se Kaha Raqs-E-Junoo Hota Hai…
Aa daikh meri aankh ke bheegay howe mausam
Ye kis ne keh diya ke tujhay bhool gyee hum!
Ye jo doobi hain meri aankhain ashkon ke darya main
Ye matti ke insaano per bharosay ki saza hay
Kabhi soocha na tha ke wo bhi mujhay tanha ker jayga
Jo aksar perahan daikh ke kehta tha ….main hon na
Ik main hoon jo khud ko abhi tuk nahi samajh Paya
aur loog najane mujhay kiya kiya samajhte hain
Main apni hasti se aazaad ho giya hon
Kisi be wafa ko zaroorat ho tu.. mujhse khail sakta hay
Ye kaisay mumkin hay hal nikal jaey dil ki weraani ka
Aakhir woh shakhs mera ishq hay aur ishq bhi ain jawani ka!
Phir kiyon nahi samjhi usne meri takleef
Woh tu jaanta tha ki main uske bagair ro pardti hoon
Itna bhi kiya kisi ki mohabbat main gharaq hona
Bus theek hay koi tha! magar ab nahi raha
Alwida ae gham-e-yaar teri jaan chord di hum ne
Likh ker aaj khud ko be wafa qalam tor di hum ne
Aur unki nazrain na jaan pai achaiyan hamari Mohsin
Hum jo sach main kharaab hotay to socho kitne fasaad hotay
Lo Apna Jahan A Duniya Walo, Hum Is Duniya Ko Chor Chaly,
Jo Rishtey Natey Jorray They, Wo Rishtey Nate Tor Chaly..
Kuch Sukh Ke Lamhey Dekh Chaly, Kuch Dukh Ke Lamhey Jheil Chaly,
Taqdeer Ki Andhi Gardish Ney, Jo Khel Khilaye Khel Chaly…
Har Cheez Tumhari Lota Di, Hum Kuch Na Le Kar Sath Chaly,
Phir Dosh Na Dena Aey Logo, Hum Dekh Lo Khali Hath Chaly…
Ye Raah Akeli Kat’ti Hai, Yahan Sath Na Koi Yaar Chaly,
Us Paar Na Janey Kiya Hoga, Is Paar To Sab Kuch Haar Chaly…