Tuesday, October 21, 2025

Meri Jaan...


 Muhabbat mai adhore pan ka mai nahi qaail

Mujh ko chaho to meri jaan mukammal chaho.

Piyarey...

Suno Itny bhi Piyarey nahi ho tum bus
meri chahat ny tumhe sar pa charha rakha hai.

Hasrat...

 Teri Sharaab Kuch Bhi Nahi Uski Ankhon k Saamney....


    Woh Jo Daikh Ley Ek Nazar To peenay Ki Hasrat Nahi Rehti...

Azeez...

 Teri wafa ka taqaza badal gaya werna

Mujhe tu aaj bhi tujhe se  koi azeez nahi. 


Nazar...

 Qasoor Mera Tha To Qasoor Un ka Bhi Tha

 Nazar Hum Ne Jo Uthai Thi To Wo Hi Jhuka Letey

Monday, October 20, 2025

Dil-e-Gumrah

 Dil-e gumrah ko ay kaash ye maloom ho jata

Mohabbat dilchusp hay tub tuk jub tuk ho nahi jati


Nafrat...

 Aao kuch dair meri chahat ki chaoon main araam kerlo

Thuk gye hogay na mujh se nafrat kerte kerte??

Mijaz-e-Ishq...

 Woh acha hay to behtar, bura hay to bhi qabool hay

Mizaj-e-ishq main aib nahi daikhay jatay

Dil Hai Mera...

 Hamesha ke liyay paas rakh lo na mujhay

Koi poochay to keh dena dil hay mera


Sabar...

 Meray sabar ki intiha kiya pochte ho Faraz

Woh mujh se lipat ker roya kisi aur ke liye

Khud Ko...

Un ki aankhoon main nazar aata hay sara jahan mujhko

Afsoos ke un ki aankhon main kabhi khud ko nahi daikha

Haal-e-Zindagi...

 Aj bohaut dukh ho raha hay haal-e-zindagi per

Kaash us se hud main reh ker mohabbat ki hoti

Aadat...

 Tum ne apni aadat laga ker choor diya akaila mujhay aur

Main teri aadat ka qaidi raat bhar soo nahi sakta

Bewafai...

 Be wafai to sabhi karte hain


Tum to samjhdar thy kuch naya karte

Bharam...

Ab bhool hi chuke ho to itna yad rakhna

Mohabbat ka bharam tha warna itne aam hum bhi nahi thy


Sunday, October 19, 2025

Mazdori...

 Tumhari yadon ka bojh utha utha ker thak giya hoon main

Mazdori itne to banti hai ke ik dedar ho jaye

Sanbhal Ja...

 Ae zindagi mujhy tujh se shikayate bohaut hain

Sanbhal ja warna chor den ge tujhy bhi

Azeez...

 Meri Khoshyan tumhe bohaut aziz thin na

jub hi unhe bhi apne sath lay gaye ho tum

Warq...

 Main qissa mukhtesar nahi tha

Worq ko jaldi palat gye ho tum

Yaqeen...

 Yaqeen rakhta nahi hoon main kisi kachey taluq per

Jo dhaga totne wala ho us ko torr deta hoon



Soch...

 Woh akhre had ho jesy

Soch jati hi nahi uss se aagy

Dar-e-Parda...

 Dar-e- parda raqeebon se giley shikwe nahi achey

Tumhe jo shikayat thi hamare roo ba roo karte

Hum Na Hongay...

 Mana ke hum jesy hazaron hongy mager

Un hazaron main bus hum na hongy

Bichar...

 Yadain kyoun nahi bicherr jateen

Log to pul main bicherr jate hain

Dil...

 Begana hum ne to nahi kiya kisi ko apne se

Jis ka dil bharta gya woh chorta gya

Ilzam...

 Woh sub ilzam mere naam ker ke

Bicharne ka bahana chahte hain

Taras...

 Kabhi khood ko meri jaga rakh

Tujhy taras na aye to chor jana


Sadqa...

 Chot lagi to be ikhteyar khiyal aaya

Kahan gaye mera sadqa utarne wale

Nisaar...

 Khail ko us ke samajh na saka main

Aur wafain us per sabhi nisaar ker betha


Bad Naseeb...

 Naseeb walon ko hoti hai wafa naseeb

Hum khud hi bad naseeb to mohabbat ka kiya kasoor


Kaam...

 Her koi pochta hai karte kiya ho tum

Jesy mohabbat koi kaam hi nahi hai

Acha Hoon Haan...

 Ab tujh pe apne qemti alfaz nahi ware gey

Ab tujhy acha hoon haan keh ke mare gey


Ankhon...

 

Un ki aankhoon main nazar aata hay sara jahan mujhko

Afsoos ke un ki aankhon main kabhi khud ko nahi daikha


Haal-e-Zindagi...


Aj bohaut dukh ho raha hay haal-e-zindagi per

Kaash us se hud main reh ker mohabbat ki hoti

Saturday, October 18, 2025

Yaadoon...

 Bicharny Waaly Ye Kiun Nahi Samajhte???

K Yaadon Se Mohabbat Ka Guzaara Nahi Hota…

Khushi...

 Yehi Hai Jazba-E-Muhabbat Yehi Hai Shart-e-Junoon,

Ghamon Se Khail Raha Hun Teri Khushi K Liye…

Nisaab...

 Nisaab-E-Zindagi Hai Ishq

Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hai…

Mehboob...


Nazar, Nazar Ka Farq Hai, Husn Ka Nahi..

MehbooB Jis Ka Bhi Ho, Be-Misaal Hota Hai…

Raaz...

 Yoon Bhi To Raaz Khul Hi Jaega Ek Din Hamari Mohabbat Ka,

Mehfil Me Jo Hum K Chor Kr Sub Ko Salaam Karte Ho…

Wednesday, October 15, 2025

Nabz...

 Kitna Kamzoor Kia Ishq Ny Tere Mujh Ko,

Nabz Chalti Hai To Dukhti Hai Kalai Meri….

Hijar...

 Use Pana Use Khona, Usi Ke Hijr Mein Rona,

Yehi Gar Ishq Hai ‘Mohsin’ To Ham Tanha Hi Ache Hain….

Ishq Hi Jane...

 Arsa Beeta, Zindagi Beeti, Sab Kuch Beeta Lekin Phir Bhi,

Jo Ishq Mein Beeti, Ishq Hi Jane Ya Wo Jane Jis Par Beeti…..

Shiddat-e-Ishq...

 Shiddat-e-ishq khair ho teri..!

Kese alam me la kar Chor diya..!

Virasat...

 

Aansu, Aahain, Tanhai, Weerani Aur Gham-e-Musalsal..!
Ek Zara Sa Ishq Hua Tha, Kia Kia Virasat Mein De Gaya…

Tuesday, October 14, 2025

Bharosa...

 Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Haath Pakar Ke Chalty?

Mein Ny Mohabbat Mein Tum Par Yun Bharosa Kia Tha…..

Zindagi...

 Kis Qadar Masoom, Kitni Shokh, Lekin Bewafa!

Hum Ne Poocha Kon, Wo Ghabra Ke Boly Zindagi…

Dost Kia Khoub Wafaon Ka Sila Detey Hain...

Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain
Har Naye Mor Par Aik Zakham Naya Dete Hain

Tum Se To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Dete Hain

 Kese Mumkin Hai Ke Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaly

Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Dete Hain

Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aye Dost
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain

Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bhroosa ‘Tabish’
Waqt Parne Pe Wohi Loog Dagha Dete Hain

Tanha...


Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho…!

Bohat matlabi thy kuch log, jo tanha kar gay…



Soya...

 Aj mere choone per bhi aitraaz karta hai wo shakhs..

Jo saari raat meri baanhon me sooya karta tha…!

Yaad...

 Bhula Den Gy Tujhy Aisy

K Tu Bhi Yaad Rakhy Ga……..!!!!

Bahar...

 Wo Mousmon Ke Badalne Se Darta Nahi Tha Lekin, 

Bahar Mein Murjhaya Karta Tha, Mere Bin

Ghareebi...

 Us ne to Thukra diya Haal-e-Ghareebi Dekh kar, ‘Dost’

Hum Aj Bhi Anmool hain Mohabbat ke Bazaar mein…..!

Toheen...

 Usy itna chaha k khud ko bhula dia hum ne,

Or wo ye keh k chal diye k itni si muhabbat toheen hai hamari…

Salam-e-Alvida...

 Ishara to Madad ka kar raha tha Doobne wala…

Mager Yaran-e-Sahil ne Salam-e-Alvida samjha…

Sila...

 Hum ne kab manga hai tum se apni wafaon ka sila??

Bas dard daite raha karo, Mohabbat bharti jaye gi…!

Monday, October 13, 2025

Khoon...

 Tere Piyar Ke Paudoon Ko Bari Mehnat Se Lagaon Ga,

Jahan Pani Ki Zaroorat Hogi Waha Khoon Lagaon Ga…!


Nab...

 Kal nab ne mujhy talab kiya tha

Mere asaso main sirf tum niklaey



Maazrat...

 Maazrat khwah hain ae dil

Tujhay be qadroon ke hawaley ker baithay


Dard...

 uske janay se kuch bhi to nahi badla

bus pehlay jahan dil hota hay ab wahan dard hota hay!

Funkaar He Samjho...

 Nadaan hon, na samajh hon, be kaar hi samjho

Dil roota hay hoont hanstay hain, funkaar hi samjho!!!

Sunday, October 12, 2025

Waqt K Baad...

 Ehsaas se khali rishte toot jatay hain

Phir chahay waqt se pehlay totain ya waqt ke baad!

Bahaney...

 Main nahi chahti woh meray bulanay se aye

Main chahti hoon woh reh na paye aur bahanay se aye

Wajood...

 Tu wajood hay koi aks thori hay

Tu meri kul kainaat hay ik shakhs thori hay

Wafadar...

  Itni kum zarf nahi hoon ke wafadar hone ka elaan keron

Mujhay yaqeen hay jo khoayga dhoondta phiray ga

Aadat...

 Aadat usay bhi hogye hay roonay ki be sabab

Mera sa hogiya hay meray gham-khuwaar ka mizaaj

Toheen...

 Palkoon ki had ko toord ke daamun pe aa gira

Ik ashk meray sabar ki toheen ker giya….!

Parwah...

 Ahsaas main hoti hay takleef aksar

Achay hotay hain woh loog jo kisi ki perwaH nahi kertay


Umeedain...

 Ab woh ehsaas nahi ke kuch likh paon

Ke itni be dardi se toordi hain kisi ne umeedain

Merhoom...

 Kaash ruk jain tasasalsul se chalti saansain

Kaash kul subha tuk main merhoom bulai jaon



Rooz...

 Rooz hota hay taruf kisi sachai se

Rooz ik shakhs meray dil se utar jata hay



Aag...

 Patton ki tarahera tha zamanay ne mujhay

Phir ik shakhs ne sameta aur aag lagadi



Adaat...

 Tumhain mohabbat kahan thi bus aadat thi

Warna humara pal bhar ka bichardna tumharay liyay azaab hota!

Waqt Mila To...

 Hum ne usko likha tha, kuch milne ki tadbeer kero

Usne likh ker bhaija hay, waqt mila to soochain gay!

Aap...

 Lehja-e-yaar main zehar hay bicho ki tarah

Woh mujhay aap to kehta hay magar to ki tarah

Yeh Dunya...

 Nahi hay Hoosla mujh main tumhain khoone ka sunlo

Ye dunya mujhay kho day gi agar tum kho gye mujhse


Friday, October 10, 2025

Hum Na Hongay...

 Mana ke hum jesy hazaron hongy mager

Un hazaron main bus hum na hongy

Bichar...

 Yadain kyoun nahi bicherr jateen

Log to pell main bicherr jate hain


Meri Khushiyan...

 Meri Khushyan tumhe bohaut aziz thin na

jub hi unhe bhi apne sath lay gaye ho tum

Qissa...

 Main qissa mukhtesar nahi tha

Worq ko jaldi palat gye ho tum

Aa Zindagi...

 Ae zindagi mujhy tujh se shikayate bohaut hain

Sanbhal ja warna chord den ge tujhy bhi

Shikayat...

 Dar-e- parda raqeebon se giley shikwe nahi achey

Tumhe jo shikayat thi hamare roo ba roo karte

Soch...

 Woh akhre had ho jesy

Soch jati hi nahi us se aagy

Kachey Taluq...

Yaqeen rakhta nahi hoon main kisi kachey taluq per

Jo dhaga totne wala ho us ko torr deta hoon