Friday, June 10, 2011

Barish hoi to



Barish hue to phoolon k tun chaak ho gaye
Mausam k haath bheeg k sufaak ho gaye

Badal ko kia khabar k barish ki chah mein
kitnay buland-o-bala shajar Khak ho gaye

Jugnoo ko din k waqt pakarnay kay zid karein
Bachay hamaray ehud k chalak ho gaye

Lehra rahi hai burf ki chadar hata k ghass
Suraj ki sheh pay tinkay bhi, bay-bak ho gaye

Suraj dimag loog bhi iblaag-a-fikr mein
Zulf-a-shab-a-firaaq k pechaak ho gaye

Jab bhi Gareeb-a-shehar say kuch guftagu hue
Lehjay hawa-a-shaam k num-naak ho gaye

Sahil pay jitnay aab guzeeda thay sab kay sab
Dariya kay rukh badaltay hi tay-raak ho gaye



No comments:

Post a Comment