Jab hijr ke shehr mein dhoop utrri,main jaag parra to khawab hoa
Meri soch khizaan ki shaakh bani, tera chehra aur gulaab hoa
Barfeeli rut ki teez hawa kiun jheel mein kanker phhaink gayi
Ek aankh ki neend haraam hoi, ek chaand ka aks kharab hoa
Bharay shehr mein ek hi chehra tha,jisay aj b galiyan dhondti hain
Kisi subah us ki dhoop hoi kisi shaam wohi mahtaab hoa....!!!
Tere hijr mein zehn pighalta hai,tere qurb mein aankhein jalti hain
Tera khona aik qayamat tha, tera milna aur azaab hoa....!!!
Barri umr k baad in aankhoon mein,ek abr utrra teri yaadoon ka
Mere dil ki zameen abaad hoi, mere mann ka nagar shadaab hoa
Kabhi wasl mein MOHSIN dil toota, kabhi hijr ki rut ne laaj rakhi
Kisi jism mein aankhein kho baithay, koi chehra khuli kitaab hoa
No comments:
Post a Comment