Monday, June 6, 2011

Teri Aankhon Si Aankhien



Teri ankhon si ankhain
Aaj ek chehray pe dekhi hain
Wohi rangat, banawat
Aur wesi be-rukhi unmein,
Bichartay waqt jo maine
Teri ankhon mein dekhi thi
Teri ankhon si ankhon ne
Mujay ek pal ko dekha tha
Wo pal ek aam sa pal tha
Puranay kitnay mousam,
kitnay manzar maine dekhay thay
Meri jaan main ye samjha tha
Teri ankhon si ankhain jab
Meri ankhon ko dekhain gi
To aik lamhay ko sochain gi
Ke in ankhon ko pehlay bhi
Kisi chehray pe dekha hai
Magar in jheel ankhon main
Shanasaayi nahi jagi...
Meri ankhain !!
Teri ankhon si ankhon k liye
Kab Khaas ankhain thin
Teri ankhon ne shayed ye
Kayi chehron pe dekhi hon
Ke ye to aam aankhain hain
Main aisa soch sakta tha
Magar main kya karoon dil ka
Jo ab yeh yaad rakhay ga
Teri ankhon si ankhain
Main ne ek chehray pe dekhi thin !!
Phir us ke baad kitnay din
Meri ankhon main sawan tha..



No comments:

Post a Comment