Sunday, May 5, 2013

Main Muqtal Main Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla


Mein muqtal mein bhi qismat ka sakandar nikla...
Qura-e-faal mere naam ka aksar nikla...


Tha jinhein za-am woh darya bhi mujhe mein doobey...
Mein k sehra nazar aata tha samandar nikla...

Mein ne us jaan-e-baharaan ko buhat yaad kiya...
Jab koi phool meri shaakh-e-hunar se nikla...

Shehar walon ki muhabbat ka mein qail hoon magar...
Mein ne jis haath ko chooma wohi khanjar nikla...

Tu yahin haar gaya tha merey buzdil dushman
Mujh se tanha k muqabl,tera lashkar nikla...

Main k sehra-e-muhabbat ka musafir tha faraz
aik jhunka tha k khushbu k safar per nikla..

No comments:

Post a Comment