Saturday, July 25, 2015

Mohabbat Ka Tasavor Ko Agar Tasveer Karna Hai



muhabbat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
dhanak say rang lay lena
sitaroun say damak lena
seher say rooshni lena
guloun say dilkashi lena
muggani bulbuloun say nagmagi lena
ala-s-subha jaag jana
oos kay qatroun say tum
pakizgee or taazgee lena
sabahat hoor say lena
malahat tum meray mehboob say lena

muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
hazaroun bheed walay
ber-e-aazem kay tahaiur kheez khitoon main chlay jana
bohat makhsoos jungle main
qalanchay martay aahoun ka ram taskheer kar lena
or us kay naafa-e-mghzan sift say
kushboo-e-jadu asar lena


muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
lagay jab jungloun main aag
us aatish kay shooloun say
gazub ki tum lapak lena
samander say tahhaamul, zabt or gehraee lay lena
baharoun say yea kahna
apni shadabi tumhain day dain

muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay

kisi sar-sabz wadi main
chamakti jheel per jab kalay badal jhoom kar chaaeen
hawa ruk jaeey
barish ki bohat nannhi si bay had dilnasheen shehzaadian
boondoun ki nazuk paalki main jab uter aaeen
to yea munzer chura lena

yea saray rang or manzar tum haray haath aaa jaaeen
mager phir bhi adhoori si tumhain tesveer lagti ho
terb zare-e-tammana main alumna ki zarori ho
muhabat ki agar yea muna leza ban nahi paa ee
to phir ik kaam tum karna
meray tutay huay dil ki
har ik kirchi utha lena
yea hi johar to us tasveer main
ik rooh phoonkay ga
muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay

No comments:

Post a Comment