Ahal-e-ulfat k havalon pe haNsi aati hai,
Laila majanuN ki misaalon pe haNsi ati hai.
Jab b takmeel-e-mohabbat ka Khayal aata hai,
Mujh ko apne Khayalon pe haNsi aati hai.
...
Log apne liye auron mein wafa DhooNDte hain,
Un wafa DhooNDne walon pe haNsi aati hai.
Dekhane valon tabassum ko karam mat samjho,
Unhen to dekhne valon pe haNsi aati hai.
ChaNdni raat mohabbat mein hasin thi Zahir,
Ab to bimaar ujaalon pe haNsi aati hai.
No comments:
Post a Comment