Saturday, July 25, 2015

Tumhain Mujh Se Mohabbat Hai


musalsal sooch main rehna
kisi say kuch nahi kahna
kisi gooshay main chup kay 
khud say mehw-e-guftgu rehna

achanak dil main koe metha metha dard uthna
bay sabab bay cheen ho jana
akeelay beth kay roona
kaee raatain nahi soona
wo pehroo bethay bethay
janay kis manzer main kho jana
kisi aahat kisi bhi chaap say 
phir choonk si perna
meray saaey ay bachana
samnay aanay say katrana

suno pagal si ae larki
kahi or ankahi kay dermiyan 
sooli pay latki ho
tumhain maloom hay tum jaan kar
manzil say bhatki ho?
yea mana tum bohat khuddar ho 
per yea haqeeqat hay
ana ik had tak achi hay
magar is had kay aaagay
yea mehaz ik khud fraebi hay
azeeyat sah rahi ho or chup ho
kia qiyamat hay
tum akhir koun nahi kahtin 
tumhain mujh say muhabbat hay.




Mohabbat Ka Tasavor Ko Agar Tasveer Karna Hai


muhabbat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
dhanak say rang lay lena
sitaroun say damak lena
seher say rooshni lena
guloun say dilkashi lena
muggani bulbuloun say nagmagi lena
ala-s-subha jaag jana
oos kay qatroun say tum
pakizgee or taazgee lena
sabahat hoor say lena
malahat tum meray mehboob say lena

muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
hazaroun bheed walay
ber-e-aazem kay tahaiur kheez khitoon main chlay jana
bohat makhsoos jungle main
qalanchay martay aahoun ka ram taskheer kar lena
or us kay naafa-e-mghzan sift say
kushboo-e-jadu asar lena


muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
lagay jab jungloun main aag
us aatish kay shooloun say
gazub ki tum lapak lena
samander say tahhaamul, zabt or gehraee lay lena
baharoun say yea kahna
apni shadabi tumhain day dain

muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay

kisi sar-sabz wadi main
chamakti jheel per jab kalay badal jhoom kar chaaeen
hawa ruk jaeey
barish ki bohat nannhi si bay had dilnasheen shehzaadian
boondoun ki nazuk paalki main jab uter aaeen
to yea munzer chura lena

yea saray rang or manzar tum haray haath aaa jaaeen
mager phir bhi adhoori si tumhain tesveer lagti ho
terb zare-e-tammana main alumna ki zarori ho
muhabat ki agar yea muna leza ban nahi paa ee
to phir ik kaam tum karna
meray tutay huay dil ki
har ik kirchi utha lena
yea hi johar to us tasveer main
ik rooh phoonkay ga
muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay

Thursday, July 23, 2015

Kahiye Ab Kia Hai...

"Kahiye ab kya hai charagon ki zarurat apko..
Leke aankhon me wafa ki raushni ๐Ÿ’ฅhum aa gaye..
Apke dil ne hume awaaz di..
Hum aa gaye.."

Aik he Khawab


เคเค• เคนी เค–़्เคตाเคฌ เค•เคˆ เคฌाเคฐ เคฏूं เคนी เคฆेเค–ा เคนै เคฎैंเคจे 
เคคूเคจे เคธाเคก़ी เคฎें เค‰เคฐเคธ เคฒी เคนै เคฎेเคฐी เคšाเคฌिเคฏाँ เค˜เคฐ เค•ी 
เค”เคฐ เคšเคฒी เค†เคˆ เคนै เคฌเคธ เคฏूँ เคนी เคฎेเคฐा เคนाเคฅ เคชเค•เคก़เค•เคฐ 
เค˜เคฐ เค•ी เคนเคฐ เคšीเคœ เคธंเคญाเคฒे เคนुเค เค…เคชเคจाเคฏे เคนुเค เคคू
เคคू เคฎेเคฐे เคชाเคธ เคฎेเคฐे เค˜เคฐ เคชे, เคฎेเคฐे เคธाเคฅ เคนै ' เคจिเคถा'

เคฎेเคœ़ เคชเคฐ เคซूเคฒ เคธเคœाเคคे เคนुเค เคฆेเค–ा เคนै เค•เคˆ เคฌाเคฐ 
เค”เคฐ เคฌिเคธ्เคคเคฐ เคธे เค•เคˆ เคฌाเคฐ เคœเค—ाเคฏा เคญी เคนै เคคुเคเค•ो 
เคšเคฒเคคे-เคซिเคฐเคคे เคคेเคฐे เค•़เคฆเคฎों เค•ी เคตो เค†เคนเคŸ เคญी เคธुเคจी เคนै

เค—ुเคจเค—ुเคจाเคคी เคนुเคˆ เคจिเค•เคฒी เคนै เคฌाเคฅเคฐूเคฎ เคธे เคœเคฌ เคญी 
เค…เคชเคจे เคญीเค—े เคนुเค เคฌाเคฒों เคธे เคŸเคชเค•เคคा เคนुเค† เคชाเคจी 
เคฎेเคฐे เคšेเคนเคฐे เคชเคฐ เค›เคŸเค• เคฆेเคคी เคนै เคคू เคจिเคถा เค•ी เคฌเคš्เคšी

เคซ़เคฐ्เคถ เคชเคฐ เคฒेเคŸ เค—เคฏी เคนै เคคू เค•เคญी เคฐूเค  เค•े เคฎुเคเคธे 
เค”เคฐ เค•เคญी เคซ़เคฐ्เคถ เคธे เคฎुเคเค•ो เคญी เค‰เค ाเคฏा เคนै เคฎเคจाเค•เคฐ 
เคคाเคถ เค•े เคชเคค्เคคों เคชे เคฒเคก़เคคी เคนै เค•เคญी เค–ेเคฒ เคฎें เคฎुเคเคธे 
เค”เคฐ เค•เคญी เคฒเคก़เคคी เคญी เคเคธे เคนै เค•ि เคฌเคธ เค–ेเคฒ เคฐเคนी เคนै 
เค”เคฐ เค†เค—़ोเคถ เคฎें เคจเคจ्เคนे เค•ो……

เค”เคฐ เคฎाเคฒूเคฎ เคนै ? เคœเคฌ เคฆेเค–ा เคฅा เคฏे เค–़्เคตाเคฌ เคคुเคฎ्เคนाเคฐा 
เค…เคชเคจे เคฌिเคธ्เคคเคฐ เคชे เคฎैं เค‰เคธ เคตเค•़्เคค เคชเคก़ा เคœाเค— เคฐเคนा เคฅा.....


ek hi khuwab kai bar yun hi dekha hai maine
tune sari me uras le hai mere chabiyan ghar ki
aur chali aai hai bas yun hi mera hath pakar kar
ghar ki har chez sambhale huye apnaye huye tu
tu mere pas mere ghar pe , mere sath hai nisha

maiz par phul sajate huye dekha hai kai bar
aur bistar se kai bar jagaya bhi hai tujhko
chalte phirte tere kadmo ki wo aahat bhi suni hai 

gungunati hui nikli hai bathroom se jab bhi
apne bhege huye balo se tapakta hua pani
mere chehre par chitak dete hai tu nisha ki bacchhi

farash par let gai hai tu kabi ruth ke mujhse 
aur kabhi farsash se mujhko bhi uutaya hai manakar
tash ke patto pe larti hai kabhi khel me mujhse 
aur kabhi larti bhi aayse hai ki bas khel rahi hai 
aur aagosh me nanhe ko ....


aur maloom hai ? jab dekha tha ye khuwab tumhara 
apne bistar pe main us waqt para jag raha tha ....

App Ko Dekh Ker Dekhta Reh Gaya

เค†เคชเค•ो เคฆेเค– เค•เคฐ เคฆेเค–เคคा เคฐเคน เค—เคฏा, เค•्เคฏा เค•เคนूं, เค”เคฐ เค•เคนเคจे เค•ो เค•्เคฏा เคฐเคน เค—เคฏा
เค†เคคे เค†เคคे เคฎेเคฐा เคจाเคฎ เคธा เคฐเคน เค—เคฏा, เค‰เคธเค•े เคนोंเค ों เคชे เค•ुเค› เค•ांเคชเคคा เคฐเคน เค—เคฏा
เคตो เคฎेเคฐे เคธाเคฎเคจे เคนी เค—เคฏा, เค”เคฐ เคฎैं เคฐाเคธ्เคคे เค•ी เคคเคฐเคน เคฆेเค–เคคा เคฐเคน เค—เคฏा
เคूเค  เคตाเคฒे เค•เคนीं เคธे เค•เคนीं เคฌเคข़ เค—เคฏे, เค”เคฐ เคฎैं เคฅा เค•ि เคธเคš เคฌोเคฒเคคा เคฐเคน เค—เคฏा

aap ko dekh ke dekhta reh gaya , kya kahu, aur kehne ko kya rah gaya
aate aate mera nam sa rah gaya, 
uske honto pe kuch kapta rah gaya
wo mere samne hi gaya , aur me raste ki tarah dekta reh gaya
jhut wale kahi se kahi bar gaye, 
aur me tha ki sach bolta reh gaya...

Mujhey Hairet Hai


Mujy Hairat Hy mere Pas Kyun Kuch bhi 

Nahi bachta



Mainn Apni Zaat Se Jb Bhi usy Tafreeq Kerta Hun"

Raat Main Chandni


Rat Main Chandni Aise Gungunati Hai

Sun, Zara Lagta Hai Tumse Awaz Milati Hai.

Saturday, March 7, 2015

Raat darwaze pe

Raat darwaze pe

Kitni dastakon k

Zakhm the Mohsin....

Phir wahi pagal hawa 

Phir mujhe dhoka huwa....

Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

Wohi hai dharti, 
Falak wohi hai
Ye dil samunder, 
Bhanwer se naina
Yaqeen wohi hai, 
Gumaan wohi hai
Ye chand or kehkashan 
Wohi hai
Tumhari surat, 
Tumhari murat
Tumhari baatein 
Wohi hain !

Lekin ...

Buhat dinon se 
Yuon lag raha hai ..
Samaton mein uter ke ..
Suraj pighal raha hai ..

Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

Teri meri dosti ka rishta


Teri meri dosti ka rishta
aankhon aur palkon jaisa hai
Agar palak kuch der naa jhapke to
aankhen ro parti hain
Agar aankh me kuch chala jaaye to
Palak tarap uthti hai......................!!!!

Yeh Qisa bohat Purana Hai..


Yeh Qisa bohat Purana Hai..

Kuch Yad Raha Kuch yad Nahi...

JO Yad Raha...

Bus Aankhain thin

Bus Aankhain Thin.....

Kuch Khawabida, See Khawabida

Do jheel Si Gehri Aankhain thin..

Main Doob Gaya Un Aankhon Main...

Abb Is Say Zayada Yad nahi......

Tera mera rishta kesa

Tera mera rishta kesa

Is ko suljhate suljhate

Apne dil ki deewarein zakhmi ker betha hun

Rishta shayed sulajh na paye

Lekin is ko suljhane ki dhun mein

Janaa'a...!!!

Saare khawab bhula betha hun.....

Apna aap ganwa betha hun...!!!

Thursday, March 5, 2015

main us shaks ko kaise manao ga


main us shaks ko kaise manao ga mohsin
jo mujh se rotha hai meri mohabbat k sabab...

Chahat


Hum ne teri chahat ko
Dil mein aise boya tha
Dharkano mein rakha tha
Ashk mein proya tha

Yaad


suno tumhe meri yaad bhi nahi ati
jab kahe mohabbat ka zikar hota hai...

Meri Ankhain


zarori tu nahi mohabbat lafzon main biyan ho
kia sach meri ankhain tumhe kuch nahi kehti ?

Diya


Yeh Ishq Hojaye Barbaad
Aaj Mazar Per Diya Jala Kar Aya Hon...!!!

Ishq Ka Bemaar


dekhi jo meri nabz tu aik lamha soch ker
kaghaz liya aur ishq ka bemar likh diya...

Tuesday, March 3, 2015

Ye kesa Cahahton ka SilSila Hy

Ye kesa Cahahton ka SilSila Hy,

Na us Se ShikaYat Hy Na Kud Se Gila Hy,

Zindgi Kis Mor pe Le ai hy"$ร„Gร„R"

Na usko Pany ke HimAt hy

Na Khony Ka HosLa hy ...!!!

be nishan manzilon ke safar par

be nishan manzilon ke safar par
kabhi niklo
to jano ge
ke hum jese musafir
kyon ghar ka rasta bhool jate hein!!!

Chalo ek nazm likhte haiN

Chalo ek nazm likhte haiN,

kisike naam karte hai, 



magar ye sochna hai ab,
ke us mein ziqr kiska ho, 



k us mein baat kis ki ho, 
ke us mein zaat ki ki ho, 



aur ye bhi farz karte hai,
ke ispe nazm likhte hai,



hamein usse mohabbat hai, 
hamare saare jazbon ko,



Bas uski hi zaroorat hai, 
chalo ek kaam karte hai,



ke hum jo nazm likhte hai,
tumhare naam karte hai,



tum hi unwaan ho iska,
tumhara ziqr hai ismein,



tumhari baat hai is mein,
tumhari zaat hai is mein...

Mujhe raayigaaN na talaash kar

Mujhe' raayigaaN na talaash kar
Ma safar ma tha
Ma safar ma hooN
Kabhii noor-e-harf ki raah ma
Mere' khush'shanaas ma aaooN ga
Mujhe' doosroN se talab na kar
Mujhe' khud se maaNg ke dekhna
Ma be'rang aks-e-gohar'numaa
Kaff-e-iltamaas ma aaooN ga
Mujhe' ab tu shaoq se bhool ja
Yahi naaz kam to nahii ke ma
Terii chaahaton ki kitaab ke
Iqtabaas ma aaooN ge

Monday, March 2, 2015

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono


Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono 

Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki 
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se 
Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein 
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se
Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter 
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha 
Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin 
Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha
Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se 
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain 
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki 
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain

Dukh chhupaye hoay hain hum dono


Dukh chhupaye hoay hain hum dono
Zakham khaaye hoay hain hum dono

Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aaye hoay hain hum dono

Tu kabhi chandani thee dhoop thaa main
Ab to saaye hoay hain hum dono

Jaisay ek doosary ko paa kar bhee 
kuch ganwaiye hoay hain hum dono

Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukaye haoy hain hum dono

Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulaye hoay hain hum dono

Ishq kaisa kahan ka ehad Faraz
Ghar basaye hoay hain hum dono.

Yeh Aansoo


Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!