Saturday, October 1, 2011

Hijar Main Barish


hijar mosam may yeh barish ka barsna kaisa?
ek sehra sy samandr ka guzarna kaisa?

aye mery dil na pareshan ho tanha ho kar
wo terysaath chala kub tha bicharna kaisa?

log kehtay hain gulshan ki tabahi dheko
main to viran sa jangal tha ujarna kaisa?

dhaknay may to koi dard nahi dhuk bhi nahi,
phir ye aankhon may youn ashkon ka ubhrna kaisa?

bewafa kehnay ki jurrat bhi na karna usko
usne iqrar kiya kub tha, Mukarna kaisa?

Mujhey Ishq hone ki kiya khabar...!!


Mera Saaf Saada Mijaz Tha
Mujhe Ishq Hone Ki Kiya Khabar
Tere iK "Tabassum-e-Naz" Ney
Mera Sara Zauq Badal Diya...!!

Tuesday, September 13, 2011

Ishq

ابتداء عشق سے تکمیل عشق تک
تمہیں چاہا، تمہیں چاہا، تمہیں چاہا تمہیں چاہا

Muhabbat qaid nahi....!!!

Main Tumhara maqrooz nahi hoon

aur na Tumhara paband hoon

Muhbbat kernay ka yeh matlab nahi k insaan qaid ho ker reh jaye

Muhbbat azaadi ka naam

rooh ki azaadi ka naam

zameer ki azadi ka naam

fitrat ki azadi ka naam

Main Tumhari kisi baat ko hukam ka derja du to yeh meri naiki hai

aur na du to mera insaaf

Tumhay chahiye tha usay smait rakho, mhfooz aur malfoof

bikhra k uraa detay ho or chahty ho mhdood rhu

aik dar band ker k chahty ho k masdood rahu

kitnay pagal ho

jao phlay kisi say Muhbbat kero.....!!

Abhi barish nahi ho gi....!!

Abhi musam nahi badla

Abhi bzaar-e-hasti may koi Eysa saleebo'n per nahi utra

to phir kesay zameen kay korh per sater shifa utray

Abhi barish nahi ho gi

Sumander ka koi paygam badal ko nahi pohncha

K qasid panio'n ko rait kay driya say ana tha

Wohi driya

sar-e-shail wohi bachi, wohi guriya

ktay pazu, jlay rukhsaar aur kuch kaanch ka malba

Abhi galio may taza jis ki mhkaar pheli hai

Abhi musam nahi badla

Abhi barish nahi ho gi....!!

Aik Aur Barish

Chashm-e-Nam, Teri Yaad Aur Barish.
Aik Barish k Baad, Aik Aur Barish

Monday, September 12, 2011

Kabhi Kabhi Mere Dil Main Khayal Ata hai

Kabhi Kabhi mere dil mein khayaal aataa hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaaon mein
Guzarne paati to shaadaab ho bhi sakti thi
Yeh tiraagi jo mere zist ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi

Ajab na thaa ki main begana-e-alam reh kara
Tere jamaal ki ranaiyon mein kho rehta
Tera gudhdaaz badan, teri nimabaz aankhen
Inhin hasin fasano mein main ho rehta

Pukaratin mujhe jab talkhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghunt pe leta
Hayaat chikhti phirti barehana-sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke ji leta

Magar ye ho na saka
Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
Ki tu nahin, tera gham teri justaju bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin

Zamane bhar ke dukhon ko lagaa chuka hun gale
Guzar raha hun kuch anjaani rahguzaron se
Muhib saaye meri simt badte aate hain
Hayaat-o-maut ke par-haal khaar-zaaron se

Na koi jaada, na manzil na roshani ka suraag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Inhi khalaon mein reh jaaunga kabhi kho kar
Main jaanta hun meri ham-nafas, magar yun hii
Kabhi Kabhi mere dil mein khayal aata hai..

Mujhey Tujh Se Ishq Nahi

مجھے تجھ سے عشق نہیں نہیں مگر اے حسینہء نازنیں
تو دور ہو مجھ سے اگر کبھی، تجھے ڈھونڈتی ہو نظر کبھی
تو جگر میں اٹھتا ہے درد سا میرا رنگ رہتا ہے زرد سا
مگر اے حسینہء نازنیں مجھے تجھ سے عشق نہیں نہیں
مجھے تجھ سے عشق نہیں نہیں مگر اے حسینہء نازنیں
تو اگر ہو مجمع عام میں، کسی کھیل میں کسی کام میں
تو میں چھپ کہ دور ہی دور سے تجھے دیکھتا ہوں غرور سے
مگر اے حسینہء نازنیں مجھے تجھ سے عشق نہیں نہیں
مجھے تجھ سے عشق نہیں نہیں مگر اے حسینہء نازنیں
تو اگر کہے مجھے یہ کبھی، مجھے لادو لعل و جوہر کبھی
تو میں دور دور کی سوچ لوں فلک کے تارے بھی نوچ لوں
یہ ثبوت ضبط کمال دوں، تیرے پاؤں میں انہیں ڈال دوں
مگر اے حسینہء نازنیں مجھے تجھ سے عشق نہیں نہیں
مجھے تجھ سے عشق نہیں نہیں مگر اے حسینہء نازنیں

Nazar Nazar Main Adaye Jamal Rakhtey They

نظر نظر میں اداۓ جمال رکھتے تھے
ہم ایک شخص کا کتنا خیال رکھتے تھے

’اسی سے کرتے تھے ہم روز و شب کا اندازہ
زمیں پہ رہ کے وہ سورج کی چال رکھتے تھے

کچھ ان کا حسن بھی تھا ماورا مثالوں سے
کچھ اپنا عشق بھی ہم بے مثال رکھتے تھے

Teray Dil Ka Aye Dil E Natawaan

Teray Dil Ka Aye Dil E Natawaan, Main Elaaj Karoon Tou Kya Karoon,
Na Tabeeb Hoon Kay Dawa Karoon, Na Faqeer Hoon Kay Dua Karoon...

Sunday, September 11, 2011

Dard Ka Kamra Alag Hota Hai

درد کا کمرہ الگ ہوتا ہے

ہم کہ جب بھی کسی بھولی ہوئی دہلیز سے ٹھوکر کھائیں

درد کے کمرے میں جا گرتے ہیں

نت نئے دھوکے میں مصروف رکھا ہے خود کو

ہم سمجھدار بھی، پاگل بھی بنے ہیں اکثر

ہم ہنسے بھی ہیں اداسی بھی بہت جھیلی ہے

عشق کے شک میں بتائے ہیں بہت دن ہم نے

دل کو جھانسے بھی دیے روز بہت رونق کے

روح کو رنگ دیے ہیں لیکن

وہ جو آنسو کبھی آباد ہوا تھا نا۔۔۔۔۔ نصیبوں کی کسی بستی میں

کھینچ لاتا رہا واپس اسی کمرے میں ہمیں

یہ الگ کمرہ کسی کھوہ کی مانند بہت گہرا ہے

اک عجب رنگ کی خاموشی ہے دیواروں پر

کونوں کھدروں میں بہت شور ہے لاچاری کا

فرش پر ہجر کا غالیچہ بچھا رکھا ہے

چھت پہ جالے سے لگے ہیں کسی بیماری کے

دکھ کے آنگن کی طرف

مین دروازے کے ڈر کی جانب

درد کا کمرہ الگ ہوتا ہے

ہم جہاں آتے ہیں کمرہ بھی چلا آتا ہے

ہم چلے جائیں تو کمرہ بھی چلا جاتا ہے

اس کے باسی کے لیے

،خود فریبی سے بھی کچھ فرق نہیں پڑنےک

Saturday, September 10, 2011

Apni Zaat Main Ghoum

~jis say bolo us kay honto'n per ho gi aik chup
 jis ko dekho wohi milay ga apni zaat main ghoum..~

Tujhey Mujh Se Mohabbat Hojaye

main kuch bhi nahi hon tere liye
kuch tere liye main ho jaon
tere dil main rahon
ankhon mian bason
dharkan main shamil ho jaon
aa kaash k
tu jab bhi koi baat karey
mera naam b us main shamil ho
tu jab bhi mangey kuch Rab sey
meri zaat b us main shamil ho
aa kash k
her bar nahi
ek bar sahi
ek bar tu aisa hojaye
ek pal k liye aa jan-e-wafa
tujhe mjh se Mohabbat hojaye

Aaa Kash
k aisa hojaye ...!!!

Manzil


~ Gehri Tarekhi ~

~itni gehri tarekhi mian
hath paker ker chalne wala
agar koi hota tu wo tum hotey
dekho tum jo sath nahi tu
muthi bhar yaadon ke jugno
kab tak mere sath rahey gai..~

Bebasi

Kis Qadar Bay-bassi Thee Lehjay Main
Tum Ne Jabb Mujh se Kaha Tha Ikk Din
Main Tumhain Sochti Q Rehti HooN

Talash

Teri Talash Mian Mera wajod he na raha
Mita gaye meri hasti ko Aarzoo Teri

Mout

mout say kisko rustgaari hai
aaj woh kal hamari bari hai

Friday, September 9, 2011

Meri Gurbat

Maine Mana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar,
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi

Yeh Mausam Ka Takaza Hai

Ye MausaM Ka Takaza Hai,
Ya Nahsa Hai Uske Pyaar Ka,
Wo Hawa Banke Badan Ko Chhu Ke,
Rooh Mein Utar Jata Hai

Thursday, September 8, 2011

Parindey

Insan ki fitrat ko samjhte hain parinday
Jitna bhi mohabbat se bulao nahi aate.

Wajah-e-Mohabbat

Itni Nafrat na kar ajnabi se ke waja-e-muhabbat ban jai
habs barh jai to aksar barsaat howa karti hai

Ankh Main

آنکھ میں بے کراں ملال کی شام
دیکھنا عشق کے زوال کی شام

میری قسمت ھے تیرے ہجر کا دن
میری حسرت تیرے وصال کی شام

دہکی دہکی تیرے جمال کی صبح
مہکی مہکی میرے خیال کی شام

روپ صدیوں کی دوپہر پہ محیط
اوڑھنی ھے کہ ماہ و سال کی شام

پھر وھی در وھی صدا "محسن"
پھر وھی میں وھی سوال کی شام

Zaat

ایک تو هے کہ جہاں بهر سے تعلق تیرا...
ایک میں ہوں کہ تیری ذات سے باہر نہ گیا

Dard

تجھ سے پہلے بھی کئی زخم تھے سینے میں مگر
اب کے وہ درد ھے دل میں کہ رگیں ٹوٹتی ھی

Wednesday, September 7, 2011

Firaq Yaar Ki Barish

فراق یار کی بارش، ملال کا موسم
ہمارے شہر میں اترا کمال کا موسم

وہ اک دعا میری جو نامراد لوٹ آئی
زباں سے روٹھ گیا پھر سوال کا موسم

بہت دنوں سے میرے ذہن کے دریچوں میں
ٹھہر گیا ہے تمھارے خیال کا موسم

جو بے یقیں ہو بہاریں اجڑ بھی سکتی ھیں
تو آ کے دیکھ لے میرے زوال کا موسم

محبتیں بھی تیری دھوپ چھاوں جیسی ھیں
کبھی یہ ہجر کبھی یہ وصال کا موسم

کوئ ملا ہی نہیں جس کو سونپتے محسن
ہم اپنے خواب کی خوشبو خیال کا موسم

Main Udaas Rasta Hon Shaam Ka

Main udaas rasta hoon sham ka,
Mujhe aahaton ki talaash hai


Yeh sitare hain sab bujhe bujhe,
Mujhe jugnuon ki talaash hai

Her khushy hai mujh say khafa khafa,
Mujhay zindagi ki talaash hai

Meri piyas main wo talab nahe,
Mujhay tishnagy ki talaash hai

Ik hajoom sa hai rawaan dawaan,
Mujhay doston ki talaash hai

Meri zindagi hai bus ik rasta,
Mujhay manzilon ki talaash hai

Najanay kia hai jo kho gaya,
Mujhay shaid apni he talaash hay

Mohabbat Kiya Hai

محبت کیا ہے دل کا درد سے معمور ہو جانا
متاعِ جاں کسی کو سونپ کر مجبور ہو جانا

قدم ہیں راہِ الفت میں تو منزل کی ہوس کیسی؟
یہاں تو عین منزل ہے تھکن سے چور ہو جانا

یہاں تو سر سے پہلے دل کا سودا شرط ہے یارو
کوئی آسان ہے کیا سرمد و منصور ہو جانا؟

بسا لینا کسی کو دل میں، دل ہی کا کلیجا ہے
پہاڑوں کو تو بس آتا ہے جل کر طور ہو جانا

نظر سے دور رہ کر بھی تقی وہ پاس ہیں میرے
کہ میری عاشقی کو عیب ہے مہجور ہو جانا

Friday, June 10, 2011

Barish Achi nahi lagi


Pero'n ki mehndi main nay

Kis mushkil say chhuraie thi

aur phir bairen khushboo ki

kaisi kaisi binti ki thi

pyari dheray bol

bhra ghar jag uthay ga

lekin jub us kay anay ki ghari hoi

subah say aisi jhari lagi

umer may pehli bar

barish achhi nahin lagi!



Barish kay baad


Ho Gaee Rukhsat Ghatta Barish Kay Baad
Ik Deya Jalta Rahha Barish Kay Baad

Merray Behtay Aansoon Ko Dekh Ker
Roo Parhee Thandi Hawwa Barish Kay Baad

Meri Tanhaee Ka Daman Thaam Ker
Kuch Uddasi Nay Kahha Barish Kay Baad

Yaad Terri Orhd Ker Main Soo Gayya
Khawab Ka Der Khull Gayya Barish Kay Baad

Chaand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Kay Baad

Apnay Kachay Ghar Ki Her deewar Per
Naam Tera Likh Deya Barish Kay Baad



Dhoop may barish


Main ny us say aik bar poocha

kia dhoop may barish hooti hai

to woh hasny lagi

aur hasty hasty ronay lagii

aur dhoop may barish hoonay lagi



Barish hoi to


Barish hue to phoolon k tun chaak ho gaye
Mausam k haath bheeg k sufaak ho gaye

Badal ko kia khabar k barish ki chah mein
kitnay buland-o-bala shajar Khak ho gaye

Jugnoo ko din k waqt pakarnay kay zid karein
Bachay hamaray ehud k chalak ho gaye

Lehra rahi hai burf ki chadar hata k ghass
Suraj ki sheh pay tinkay bhi, bay-bak ho gaye

Suraj dimag loog bhi iblaag-a-fikr mein
Zulf-a-shab-a-firaaq k pechaak ho gaye

Jab bhi Gareeb-a-shehar say kuch guftagu hue
Lehjay hawa-a-shaam k num-naak ho gaye

Sahil pay jitnay aab guzeeda thay sab kay sab
Dariya kay rukh badaltay hi tay-raak ho gaye



December ki barish


"December Ke Barish May
Bhegtay Peroon Say Pocho
Akaila Pan Kya Hay????
Tanhaye Kisay Kahtay Hain?
Sah Pahar Ke Dhop Ko Tarasna
Aur Barish Main Behgtay Rehna
Jangal Ke Rahon Main Akailya Chalna
Us Kay Garm Hantoon Ke Cah Koo Tarasnaa
Aur Barish Main Bhegtay Rehna..
December Ke Barish Main
Lahar-dar-Lahar Mahakte Hawa Say Pochoo
Khushboo Saa Khayal Rakhnay Walay......
Tanha Kaisay Retay Hain??
Bhegtee Hain SArd Ratain,,,,
December Kee Baraish Say Kahoo !
Kabhi Jangal Kay Us Par Milay
Dhaltay Hoon Sham Kay Sayee
Too Unn Ankhon Say Mailay........!!!
December Ke Barish Say Kahoo........ !!



Barish usay bhi pasand hai


Suna hay barish usay bhi pasand hai

wo bhi meri tarhan barasti bundo'n ko hatho'n may samayt leti hai

Suna hay Phool usay bhi pasand hain

Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanto'n batain karti rehti hai

Suna hay chand usay bhi pasand hai

Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hai

Suna hay tanhai usay bhi pasand hai

Wo bhi meri tarhan.............. ..

Par wo tanha beth kar kis ko sochti hai?

Sari batain sachi hain Magar

Ye bhi sach hay

Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi !!!!



Barisho kay musam may


Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron may
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge
Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri
Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai
Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi
Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab



sarmaa ki pehli barish


Koi to Barish


Dard jagaye barish ney


Gham ki Barish


Gham ki Barish ne bhi Uske Naksh ko Dhoya Nahi

Usne Mujhe Kho diya Main ne Use Khoya Nahi

Neend ka halka Gulabi sa Khumar Aankhon mein tha

Yun Laga Jeise Wo Shab ko Dair tak Soya Nahi

Janta hon Aik Aeise Shaks ko Main bhi 'Faraz

Gham se Pathar ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahi



Barish Ka Iski Yaad Se Rishta Zaror Hai


~ .. Bondain gireen tu ankh main ansoo bhi agaye
Barish ka uski yaad se rishta zaror hai .. ~



Yeh Barishain Bhi Tum Si Hain


Yeh barshien bhi tum si hain,

Jo baras gai to bahar hain,
Jo theher gai to qarar hain,
Kabhi aa gai yunhi besabab,

Kabhi chaa gai yunhi roz-o-shab,
Kabhi shor hain,
Kabhi chup si hain,

Yeh barshien bhi tum si hain,
Kisi yaad main kisi raat ko,
ik dabi howi si rakh ko,

Kabhi youn howa k bujha diya,
Kabhi khud se khud ko jala diya,
Kahin bond bond main gum si hain,

Yeh barshien bhi tum si hain...



Aanchal Teri Yaadon Ka Bhigo Deti Hai Barish


Barish Ka Mousam Kuch Yaad Dilata Hai


Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai

Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai

Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai

Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai



Thursday, June 9, 2011

Barish Ab Sey Pehley Bhi


Barish ab say pehlay bhi kai bar hoi thi
kia is bar meray rangrez nay chunri kachchi rangi thi
ya tan ka hi kehna such keh
rung to us kay honton mein tha



!

Barish Main Kiya Tanha Bheegna Larki


Barish mein kia tanha bheegna larki!
usay bula jis ki chahat mein
ttera tun mun bhega hai
pyar ki barish say barh kr kia barish ho gi
aur jub is barish kay baad
hijr ki pehli dhoop khilay gi
tujh per rang kay ism khulein gay...!!!



Rut Ki Pehli Shararat Main


Rut ki pehli shararat mein
khuley aasman taley
badiloon ki chatri aurhey
thandi hawa ki athkelion mien
neher kinaarey lambi serrk pey
matti ki khushbu key sang
barish key jhoomtey naachtey qatrey saath liey
door tak chalna
kitna acha lagga
teri sangat mein...!!!



Kisi din tez barish main


Kisi din tez barish main
Agar tum bheeg jao to
Agar barish k ye qatray
Tumhari zulf ko chu kar
Tumharay gaalon ko chumen
Agar barish k pani say
Agar thandi hawaon say
Kisi purzor jhonkay say
Meri jan jhoom jao to
Mujhy tum yaad kar lena
Agar khwahish ho aisay main
Koi sathi ho bahon main
Jo chheray zulf ko teri
Teray rukhsar ko choomay
Tu jhoomay us ki bahon main
Teri bahon main wo jhoomay
Mujhy tum yaad kar lena……



Hijar kay musam main


Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa?
Ik sehra se sumandar ka guzarna kaisa?

Ayee mere dil na pareshan ho tanha ho kar,
Wo tere saath chala kab tha-Bicharna kaisa?

Log kehte hain gulshan ki tabahi dekho,
Main to veeran sa jungle tha-Ujarna kaisa?

Dekhny may to koi dard nahi,
Phir ye ankho may youn ashko ka ubharna kaisa?

Bewafa kehne ki jurrat b na karna,
Us nay iqraar kiya kab tha - Mukarna kaisa?



Sochtey Rehney Ki Adat Hogaye


Sochtey rehnay ki aadat hogayi
chaunktey rehnay ki aadat hogayi

hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi
jaagtey rehnay ki aadat hogayi

jaaney kia dur hayk apnay aap say
bhaagtey rehnay ki aadat hogayi

woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
daikhtey rehnay ki aadat hogayi

woh meray andar chupa hay or usay
boltey rehnay ki aadat hogayi!!



Das hijar di had menu


Das Hijar Di Hadd Menu

Tu fair Mily Ga kadd Menu

Muk Jan Hayyati Day Dukray

Ae Kuol Mery Ya Sadd Menu...!!



Hijar may khun rulaty ho


Hijar Me Kun Rulate Ho Kahan Hote Ho.?

Lot Kr Kun Nhi Aate Ho Kahan Hote Ho.?

MujhSe Bichre Ho To Mehbob-E-Nazar Ho Kis K.?

Aaj Kal Kis Ko Manate Ho Kahan Hote Ho.?

Shab Ki Tanhai Men Aksar Ye Khayal Aata He.

Apne Dukh Kis Ko Sunate Ho Kahan Hote Ho.?

Sard Raton Me Tumhen Kese Bhula Skta Hon.?

Aag Si Dil Me Lagate Ho Kahan Hote Ho.?

Sheher Ke Log Bhi Aksar Ye Sawal Karte Hen.

Ab Bohat Kam Nazar Aate Ho..!KAHAN HOTE HO?



Hijar ki shaam


Ojarr Ujarr k Sanwarti hai tery Hijar ki Sham,
Na puch kaisy Guzarti hai tery hijar ki Sham?

Ye Barg Barg udasi Bekhar rahi hai meri,
Keh Shakh Shakh uttarti hai Tery Hijar ki Sham,

Ujaarr Ghar mein koi Chand kab Uttarta hai?
Sawal Mujh sy ye karti hai tery hijar Sham,

Mery safar mein ik aisa Bhi morr aata hai,
Jab apny app sy darti hai Tery Hijar ki Sahm,

Bahot Azeez hain Dil ko ye Zakham Zakham Ruttain,
Inhi Ruttoon mein Nekhartti hai tery Hijar ki Sham,

Ye mera Dil ye sarasar Nigar khana Gham,
Sada isi mein Uttarti hai Tery Hijar ki Sham,

Jhaan Jhaan Bhi milain Teri Qurbatoo k Nishaan
Whaan Whaan sy Ubharti hai Tery Hijar ki Sham,

Ye Hadsa Tujhy shayad Udaas kar dy ga,
Keh mery Saath hi Martti hai Tery Hijar ki SHAAM



Hijar ki musafat main


hijar ki musaafat main

dil tumhaaray bin jana'N

baar baar ghabra kar

zindagi k raste se

door door ho jaye

jaisay koi deewana

weshatuun k gheray main

shehar k gali koochay

chor kar kisi ban main

dooriyon se takra kar

choor choor ho jaaye



Sajan


Be Khayal Hasti Ko


Ajeeb Hijar Parasati Hai


Ajeeb hijar parasti thee us ke fitrat mein
shajar k tootay pattay talash krta tha


tamam wo parday hata k chand kay sath
jo khoo gaey wo lamhay talash krta tha


duain krta tha ujray hoay mazaroon par
baray ajeeb saharay talash krta tha


mujhay tu aaj bataya hay badlon nein "Wasi"
woh laut anay k rastay talash krta tha



Jab Hijr K Shahr Main


Jab hijr ke shehr mein dhoop utrri,main jaag parra to khawab hoa
Meri soch khizaan ki shaakh bani, tera chehra aur gulaab hoa


Barfeeli rut ki teez hawa kiun jheel mein kanker phhaink gayi
Ek aankh ki neend haraam hoi, ek chaand ka aks kharab hoa


Bharay shehr mein ek hi chehra tha,jisay aj b galiyan dhondti hain
Kisi subah us ki dhoop hoi kisi shaam wohi mahtaab hoa....!!!


Tere hijr mein zehn pighalta hai,tere qurb mein aankhein jalti hain
Tera khona aik qayamat tha, tera milna aur azaab hoa....!!!


Barri umr k baad in aankhoon mein,ek abr utrra teri yaadoon ka
Mere dil ki zameen abaad hoi, mere mann ka nagar shadaab hoa


Kabhi wasl mein MOHSIN dil toota, kabhi hijr ki rut ne laaj rakhi
Kisi jism mein aankhein kho baithay, koi chehra khuli kitaab hoa



Us Ney Sukoot-e-Shab Main


Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya

Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya

Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh diya

Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya

Dekho woh merey khwaab thay dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya

Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya

Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya

Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachoon ka naam rakh diya.



Saans Kiya Leta Hai


Saans kia leta hai aik pathhar mein tu
Dhal bhi jaa ab jism ke paiker mein tu



Shaakh pe jaise nazar aata na tha
Saj uttha hai coat ke collar mein tu


Sochtey rehtey hain tanha raat bhar
Jagta hoga kahein bister mein tu

Neend kia aaye bhala iss fiker mein
Jaaney baaher hai ya apne ghar mein tu

Hijer mein bhi vassal ka hai imtizaaj
Goya ek manzar, pas-e-manzar mein tu



Hijar Ki Shab


HIJAR KI SHAB NAA'LA E DIL WOH SADA DENE LAGE
SUN NE WALE RAAT KATNE KI DUA DENE LAGE

BAGHBAN NE AAG DI JAB AASHIYANE KO MERE
JIN PE TAKYA THA WOHI PATE HAWA DENE LAGE

MUTHIYOON MAIN KHAAK LE KAR DOST AAYE WAQT E DAFAN
ZINDAGI BHAR KI MOHABBAT KA SILA DENE LAGE

AAI' NA HO JAYE MERA ISHQ UN KE HUSN KA
KYA MAZA HO DARD AGAR KHUD HE DAWA DENE LAGE

SEE'NA E SOZ'AAN MAIN SAQIB GHAT RAHA HAI WOH DHOWAN
UF KAROON TO AAG KI DUNYA HAWA DENE LAGE



Kuch Roz Bhot Dil Tarpey Ga


Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ka Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka

Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !



Yeh jo Hijr Hai yeh Naseeb Hai


Koi dost hai na raqeeb hai,
Tera sheher kitna ajeeb hai,

Woh jo ishq tha woh khayal tha,
Ye jo hijr hai ye naseeb hai,

Yahan kis ka chehra parha karon,
Yahan kon itna qareeb hai,

Main kisey kahon mere sath chal,
Yahan kon itna ghareeb hai........



Tera Hijar Bara Bad Zaat Sajan


Tera Hijar Bara Bad Zaat Sajan
Mer Perd gaey sab Jal
Mery sookh gaey sab Phal
Mery sapny ho gaey Shal
Koi bhej dukhon ka Hal
Mery ujar gaey sab Shehar
Meri Rag Rag ander Zehar
Mery Dil k ander Thal

Meri Ankhoon main Barsat
Tera Hijar Bara Bad Zaat

Main phiri bohat ghar ghar
Koi khula mila na Dar
Abi urti or Magar
Mery zakhmi ho gaey Par
Mery kaly huy Naseeb
Mery hissy aai Saleeb
Mery Dil se na jaey Dar

Mery Sar se katy na Raat
Tera Hijar Bara Bad Zaat

Jab bdal gaey Halat
Lagi qadam qadam pe Ghat
Her simt bikhar gaey Paat
Ham malty reh gaey Hath
Teri khatir badli Zaat

Kiya soraj ko bhi Raat
Tera Hijar Bara Bad Zaat

Tera Hijar Bara Bad Zaat Sajan
Tera Hijar Bara Bad Zaat ..



Hijar kay mahtaab sun


h!jr Kay Mahtaab Sun

h!jr kay mahtaab sun

hum bhe hain teray hum safar

hum sey bhe koi baat ker

hum to teray rafeeq hain

hum sey na ejtanab ker

dasht-e-feraq-e-yaar mein

azlon kay hum rakab sun

bakht mein jab na chain ho

waqt sey kia gila kren

os se kahan mila kren!

rah mein os ko rok lain

kay say yeh hosla kren

tu to hamaray sath chal

tu to hamaray khwab sun

h!jr kay mahtaab sun

taron mein entashaar hay

kis ki nigah kay sabab!

apni he chah kay sabab

hum ney jisay ganwa diya

shiddat-e-rah kay sabab

os kay gham-e-firaq ka

hum sey kabhi hisab sun

h!jr kay mahtaab sun....!!



Her Simt Ghum-E-Hijr Ke Toofaan Hein MOHSIN


Her Simt Ghum-E-Hijr Ke Toofaan Hein MOHSIN.
Matt Pooch Ke Hum Kitne Pareyshaan Hein MOHSIN.

Her Chehra Nazar Aata Hai Tasweer Ki Soorat.
Hum Sheher Ke Logon Se Bhi Anjaan Hein MOHSIN.
...
Jis Shehr-e-Muhabbat Ne Humein Loot Lia Hai.
Us Sheher Se Ab Kooch Ke Imkaan Hein MOHSIN.

Kashti Abhi Umeed Ki Doobi Tou Nahi Hai.
Phir Kyun Teri Aankhoon Mein Ye Toofaan Hein MOHSIN.



Kabhi Sochey wo bhi


Ishq seHra hai dariya kaBhi
s0che w0h Bhi,

Us se Kya hai naAta kaBhi
s0che w0h Bhi,

Han main Tanha hun yeh
iqrAr bhi kaR leTa hun,

 Khud bhi kItna w0h Tanha hai
  kaBhi s0che w0h bhi



Ahal-e-ulfat k havalon pe haNsi aati hai


Ahal-e-ulfat k havalon pe haNsi aati hai,
Laila majanuN ki misaalon pe haNsi ati hai.

Jab b takmeel-e-mohabbat ka Khayal aata hai,
Mujh ko apne Khayalon pe haNsi aati hai.
...
Log apne liye auron mein wafa DhooNDte hain,
Un wafa DhooNDne walon pe haNsi aati hai.

Dekhane valon tabassum ko karam mat samjho,
Unhen to dekhne valon pe haNsi aati hai.

ChaNdni raat mohabbat mein hasin thi Zahir,
Ab to bimaar ujaalon pe haNsi aati hai.



Ishq mein jo barbaad hoey haen


Ishq mein jo barbaad hoey haen,
Loug kahaan aabaad hoey haen,

Zikr e sanam jab raahat e dil hae,
Hijr mein kyoon naashaad hoey haen,
...
Hoor o malaaik dard na jaanein,
Afzal aadam zaad hoey haen,

Zulf ke qaidi kaise riha hoon,
Mar ker hi aazaad hoey haen,

Jaam e shahaadat ishq hae aisa,
Aashiq zindabaad hoey haen.



Hijar k aadi Logon Ko

Hijar k aadi Logon Ko

Wasal Pasand to aa Jata Hay

Lakin....

Raas nahi....!!

Monday, June 6, 2011

lahu ronay wali Aankhain


Kya Yaad Karo Gee Tum

Tum Ko Daan Kiye Hum Ne

Apni Zindagi Ke Tamam

Ropehlay Khawab

Tamam Omangain

Tamam Sapnay

Or Sirf.........!

On Sapno Ke Ujarne Se

Laho Ronay Wali

Aankhain....

Khud Rakh Lee Hain....!!!



geet un aankho'n per


Koii chupkay chupkay kehta hai,

Koii geet likho meri ankhon per,

Koii sher kaho mere lafzon per,

In khushboo jesi baton per,

Chup chaap main sunta rehta hon,

Phir in jheel si gherii ankhon per,

Ik taza ghazal likh deta hon,

In phool jesi baton per,

Aik sher niya keh deta hon,

Yeh geet, ghazal yeh sher mere,

Sab us k piyar ka darpan hain,

Sab us k roop ka darshan hain,

Sab us ki ankh ka kajal hai..........



Suno acha nahi lagta


Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Daikhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Sarahay Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujh say
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pi Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Mujhay Acha Nahi Lagta



Teri Aankhon Si Aankhien


Teri ankhon si ankhain
Aaj ek chehray pe dekhi hain
Wohi rangat, banawat
Aur wesi be-rukhi unmein,
Bichartay waqt jo maine
Teri ankhon mein dekhi thi
Teri ankhon si ankhon ne
Mujay ek pal ko dekha tha
Wo pal ek aam sa pal tha
Puranay kitnay mousam,
kitnay manzar maine dekhay thay
Meri jaan main ye samjha tha
Teri ankhon si ankhain jab
Meri ankhon ko dekhain gi
To aik lamhay ko sochain gi
Ke in ankhon ko pehlay bhi
Kisi chehray pe dekha hai
Magar in jheel ankhon main
Shanasaayi nahi jagi...
Meri ankhain !!
Teri ankhon si ankhon k liye
Kab Khaas ankhain thin
Teri ankhon ne shayed ye
Kayi chehron pe dekhi hon
Ke ye to aam aankhain hain
Main aisa soch sakta tha
Magar main kya karoon dil ka
Jo ab yeh yaad rakhay ga
Teri ankhon si ankhain
Main ne ek chehray pe dekhi thin !!
Phir us ke baad kitnay din
Meri ankhon main sawan tha..



Kisi Khush Nigah Si Ankh Ney


کسی خوش نگاہ سی آنکھ نے
یہ کمال مجھ پہ کرم کیا
میری لوحِ جاں پہ رقم کیا
وہ ایک چاند سا حرف تھا
وہ
جو ایک شام سا نام تھا
وہ جو ایک پھول سی بات پھرتی تھی دربدر
اُسے گلستان کا پتہ دیا
میرا دل کہ شہرِ ملال تھا
اُسے روشنی میں بسا دیا
میری آنکھ اور میرے خواب کو کسی ایک پل میں بہم کیا
میرے آئینوں پہ جو گرد تھی مہ ـو ـ سال کی
وہ اتر گئی
وہ جو دھند تھی میرے چار سو
وہ بکھر گئی
سبھی روپ عکس جمال کے
سبھی خواب شام وصال کے
جو غبارِ وقت میں سر بسر تھے اٹے ھوئے
وہ چمک اٹھے
وہ جو پھول راہ کی دھول تھے
وہ مہک اُٹھے
لیے سات رنگ بہار کے
چلا میں جو سنگ بہار کے
کسی دست شعبدہ ساز کے
میرے نام پر میرے واسطے
میری بے گھری کو پناہ دی
میری جستجو کو نشاں دیا
جو یقین سے بھی حسین ھے
مجھے ایک ایسا گماں دیا
وہ جو ریزہ ریزہ وجود تھا
اسے ایک نظر میں بہم کیا
کسی خوش نگاہ سی آنکھ نے
یہ کمال مجھ پہ کرم کیا۔



Teri Aankhien


متاع کوثر و زمزم کے پیمانے تری آنکھیں
فرشتوں کو بنا دیتی ہیں دیوانے تری آنکھیں

جہان رنگ و بو الجھا ہوا ہے ان کے ڈوروں میں
لگی ہیں کاکل تقدیر سلجھانے تری آنکھیں

اشاروں سے دلوں کو چھیڑ کر اقرار کرتی ہیں
اٹھاتی ہیں بہارِ نو کے نذرانے تری آنکھیں

وہ دیوانے زمام لالہ و گل تھام لیتے ہیں
جنہیں منسوب کر دیتی ہیں ویرانے تری آنکھیں

شگوفوں کو شراروں کا مچلتا روپ دیتی ہیں
حقیقت کو بنا دیتی ہیں افسانے تری آنکھیں



Kahe Se Tera Sath Le Ayo


Nazar ka apna mizaj thehra


Nazar ka apna mizaj thehra
Jigar ka apna mizaj thehra
Safar ka apna mizaj thehra
To ghar ka apna mizaj thehra
Hum..Safar kay rahay na ghar kay rahay
Hamara apna mizaaj thehra

Hamari Mae ka mizaj apna
Hamari lae ka mizaj apna

Hamari aankhoon kay khaab apnay
Dard apnay azaab apnay
Meray lahoo rang gulaab apnay
Sawaal apnay, Jawaab apnay

Hamaray aangan main chalnay wali HAWA ka apna mizaaj thehra
Hamaray seenay main jalnay wali WAFA ka apna mizaaj thehra
Kisi ki choukhat pay jhuknay wali ANAA ka apna mizaaj thehra
Hamaray sajdoon ko gin’nay walay KHUDA ka apna mizaaj thehra

Ajab riwajoon, Ajab mizajoon kay iss nagar main
Tumhara apna mizaaj thehra, Hamara apna mizaaj tehra .



2 Siyah Ankhain


Teri Ankhein


Barka'ein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein..!!
Sehra Mera Chehra Hay, Samander Teri Ankhein..!!


Phir Kaun Bhala Daad-e-Tabassum Inhein Dega..!!
Roo'yein Ghi Buhat Mujse Bichar Kar Teri Ankhein..!!


Khali Jo Howi Shaam-e-Gharibaan Ki Hatheli ..!!
Kia Kia Na Lutaati Rahein Guhar Teri Ankhein..!!


Boojal Nazar Aati Hein Bazahir Muje Laikin..!!
Khulti Hein Buhat Dil Mein Uther Kar Teri Ankhein..!!


Ab Takh Meri Yadoon Say Mitaye Nahe Mitt'ta
Bheegi Howi Ek Shaam Ka Manzer, Teri Ankhein..!!


Mumkin Hoo Toa Ek Taza Ghazal Aur Bhi Keh Loon..!!
Phir Oarh Nah Lein Khuwaab Ki Chader, Teri Ankhein..!!


Mein Sang-e-Sift Eik Hi Rastey Mein Khara Hoon..!!
Shayid Muje Dekhein Ghi Palat Kat Teri Ankhein...!!


Yun Dekhtey Rehna Ussey Acha Nahe Mohsin..!!
Woh Kaanch Ka Pekar Hay Toa Pather Teri Ankhein..!!



Dil Ki Batain Bata Deti Hain Aankhien


Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend Ura Deti Hain Aankhen,
Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain, .
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen



Phir Shab-e-Tanhai Main


phir shab-e-tanhai mein
dil ka koocha
yaad se abad hua hai
rastoon ki dhool aaj
qadmoon se mere lipti hai
aankh mein kuch
benaam sa paani tahra hai
aag k shooloon mein
narsaai ki tamaash pahli
zehan k aaine mein
dhudla sa naksh ubrah hai
haath ki lakeeroon mein
kuch tabdeeli lagti hai
ya phir…………..
aankh ka sara dhoka hai.



Kaho Phir Kia Kiya Jaye


Kaho Phir Kia Kiya Jaye,
Mujhe Tum Achi Lagti Ho,
Me Tum Ko Acha Lagta Hun,

Tmhari Muskurati Geet Gati Dilruba Ankhain,
Bht Gehri Bari Qatil Nihayet Khushnuma Ankhain,
Mere Dil Se Meri Betabiyun Se Khelti Ankhain,
Wo Pehle Pyar Ki Zalim Kasak Ko Jhailti Ankhain,
Khamoshi Ki Zubaan Me Mujh Se Kia Kch Bolti Ankhain,
Wo Dil K Bhaid Sare Unkahi Me Kholti Ankhain,
Bazahir Dostun Me Khilkhilati,
Chor Nazrun Se Muje Awaz Deti Dhondti Ankhain,
Wo Meri Rooh K Rukhsaar Ko Ik Fasle Se Chomti Ankhain,

Ye Sb Batein Batati Hein,
Me Tm Ko Acha Lagta Hun.
Tm Muj Ko Achi Lagti Ho.
Kaho Phir Kia Kiya Jaye!!



Ankhiyan Jhot Na Boley


اکھیاں جھوٹ نہ بولیں


اکھیاں جھوٹ نہ بولیں
ان پہ گزری جیسی جیسی
بات کریں ویسی ویسی
روتے روتے ہنسیں کبھی
کبھی ہنستے ہنستے رو لیں
اکھیاں جھوٹ نہ بولیں
بھید چھپائیں جب یہ کوئی
لگتی ہیں کچھ کھوئی کھوئی
لیکن
پلک جھپک میں پھر یہ پیار کی راہ ھو لیں
اکھیاں جھوٹ نہ بولیں
کاجل کے سنگ بہتے بہتے
تھک جائیں سچ کہتے کہتے
سیج بچھا کے سپنوں کی تب تھوڑی دیر کو سو لیں
اکھیاں جھوٹ نہ بولیں ۔



Is Haseen Mousam Main Dekho


Is haseen mausam mein deKhO
DuriYoOn Ki aag aanKhoOn mein hY
aur thandY farsh par bethi hOon mein
Is haseen mausam Ko deKhY ja rahi hoOn mein
aur soOchY ja rahi hoOn
Ya KhudaYa...!
MerY dil K sarY Mausam
Hijar K saaYe mein
Aur ghum pehli mOhabbat Ka
Meri aanKhoOn mein hY



Haya K Rang Main Dobin Woh Dil Ruba Aankhain


Haya K Rang Main Dobin Woh Dil Ruba Aankhain
Daboon Na Day Kahin Hotin Hain Bewafa Aankhain

Sanam Chupa Na Sako Gay Yeh Dil Ki Parwaazain
K Saaray Raaz Khol Den Gi Bezubaan Aankhain

Uthain Tu Shair Jhukain Tu Ghazal Suna Daalain
Buhat Kamaal Dikhaati Hain Shaaira Aankhain

Nazar Nazar Main Mohabbat Ki Khushnumaan Baatain
Aasar Karain Gi Tu Ho Jaayein Gi Fida Aankhain

Aajab Masoomiyat Say Dekhtay Hain Sharma K
Aisi Ghaflat Main Tu Dhaa Jaayein Gi Qaza Aankhain

Laga K Aagh Meri Rooh K Aandar Jhaankain
Mohsin Wafa Ka Lay Rahin Hain Jaaiza Aankhain



WO husn-e-Mujassam kamal uski Aankhain


^ WO husn-e-Mujassam kamal uski aankhain "
^ Sarapa-e-Mohabat jamal uski aankhain "

^ main jab b poochon sawal us se koi "
^Muje roz deti hain tall uski aankhain"

^jo bachey to do jahan de k le loon"
^Wo chehra wo zulfain wo gall uski aankhain "

^ Ager koi poochey k dunia main kia hai
^zamana de ga misal uski aankhain"



Khamosh Aankhie'n


Anmool Aankhie'n


Anmool aankho'n may jo threerie'n thi

honto'n pay woh bool na thay

Hum thay us k payar k ashiq

Ba hato'n may kashkol na thay

Hum nay us ko toot kay chaha

yeh Us ka haq tha

lakin...

woh b hum ko toot k chahye

Hum itnay anmool na thay...!



Roshan Aankhie'n


Tumhari Aankhie'n roshan hain

Us nay Kaha

Aur Main yeh soch ker

Dil may hans peri

Keh Us bay-khber ko kaya khber

Barish kay baad musaam nhikrty hi hain ...!!!



Dar-E-Nayaab Ki Tamseel Hai Uski Aankhien


Dar-E-Nayaab Ki Tamseel Hai Uski Aankhien,
Aaina Hai To Kabhi Jheel Hai Uski Aankhein,

Khud Main Us Shaks Ki Tasveer Ba-Zahir Dekhun,
Meri Aankhon Mein Jo Tehweel Hai Uski Aankhein,

Ghar Mumkin Hai Kisi Tarah Bhatak Jaun Main,
Raah-E-Ehsaas Main Qandeel Hai Uski Aankhein,

Humne Dekha Hai Samundar Ki Tahoon Mein Jaakar,
Dar-E-Irfaan Ki Zanbeel Hai Uski Aankhein,

Jiski Taujeeh Na Kar Paayi Ho Kisi Ne Bhi EHSAN,
Is Mazmoon Ki Tafseel Hai Uski Aankhein...



Udaas Ankhain


Ek Din
Baaton Hi Baaton Mein
Uss Ne Chand Lamhay Mujhay BaGhor Dekhtay Hue Kaha
" Tumharii Aankhein Bohat Achi Hain "
Jab Tum Roye Hue Hotay Ho
To Soojhi Soojhi Si Bojhal Aankhein
Bohat Achi Lagti Hain
Aur Uss Din Pehli Baar
Main Ne Tanhayii Mein BaGhor Apni Aankhein Dekhi
Yun Laga Kisi Ne Qareeb Se Sargoshi Ki Ho
" Tumharii Aankhein Bohat Achi Hain "
Aur Main Yeh Soch Kar Dheema Sa Muskura Diya
k Jis Ki Khushii Aur Ana
Mujhay Apni Zaat Ki Tarah Aziiz Hay
Uss Mehruban Ko
Agar Mera Kuch Aziiz Hay
To Faqat Merii Aankhein
Aur Vo b
Royii Huii...!!!



Aaa Chand


اے چاند ذرا اِک کام تو کرنا
اُس کے گھر میں جانا جِس گھر میں اِک اپنا رہتا ہے
جو مجھکو اپنا کہتا ہے
جِس کی آنکھوں میں میرے سپنے ہیں
جِس کے سارے دکھ سکھ اپنے ہیں
وہ اِس وقت سکوں کی نیند سوتا ہوگا
اُس کی پیار بھری آنکھوں کا چپکے سے اِک بوسا لینا
اور کہنا کہ کوئی تمہیں بہت یاد کرتا ہے



Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain


Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain
Rang Mein Doobi Hui Neend Say Bhari Aankhain

Meri Her Saans Ne Her Sooch Ne Chaha Nai Tumhain
Jab Se Dekha Hai Tumhain, Tab Se Saraha Hai Tumhain
 Bas Gaye Hain meri Aankhon Mein Tumhari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthao To Sitare Jhuk Jaye
Tum Jo Palkon Ko Jhukao To Zamane Ruk Jaye
Kyun Na Ban Jaye In Aankhon Ke Pujari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaye
Tum Jo Mil Jao Jeene Ka Bahana Mil jaye
Apni Qismat Pe Kerain Naaz Hamari Aankhain



Yeh Aankhien Bhot Satati Hain


YEH AANKHEIN BUHAT SATATI HAIN,
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Ek aan mein faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj mein bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN



Aankh Purnam


Aankh purnam
ashk zam zam

Saans madham
waqt hai kum

Rooh ghayal
dard paihum

Saans jaisay
taal sargum

Zakhm jeevan
Zard Mousam

Koun kaatey
sard mousam

Wasl,raahat
hijr Maatam

Aah! Aatif !
Mout marham



Ab'r malboos-e-aab tha jaise


Ab'r malboos-e-aab tha jaise'
Chaand ko kuch hijaab tha jaise'

Kal achaanak wo yoon mila mujh ko
Koi pinhaan jawaab tha jaise'

Safha safha safar tha yaadon ka
Jalti bujhti kitaab tha jaise'

Adh'khili raat, an'kahe manzar
Raasta neem'taab tha jaise'

Chaandni ma' tuloo' hota hua
Raat ka aaftaab tha jaise'

Gehri taareekiyon mein behta hua
Aik raushan gulaab tha jaise'

Raat bhar maire aariz-o-lab par
Bosa-e-maahtaab tha jaise'

Us ki aawaaz neem khwaabeeda
Phool sa zair-e-aab tha jaise'

So ke utha to mairi aankhon mein'
Us ki aankhon ka khwaab tha jaise'



Humari Ankhain Sulag Rahi Hain


Humari Ankhain ?
Ao Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain

Humari Ankhain Tumhari Rahoon Ki Muntazir Hain
Hazar Jugnoo Utter Rahey Hain
Hum Apny Ander Bikher Rahey hain

Daleel Kasi?
Jawaz Kaisa?
Tumhari Yadon Ki Khushboon Se Mehak Rahey Hain
Khayal Apny Sisak Rahey Hain

Laboon Pe Kesi Yeh Muskurahat Si Chaa Rahi Hai?
Tumhari Yadoon Ke Silsiloon Se Guzar Rahey Hain

Qareeb Aoo
Humain Bhi Jano
Humain Bhi Mano
Hum Tumhari Furqat Ke Ansuoon Ko Chupa Rahey Hain
Tumhain Hum Itna Bata Rahey Hain
Humari Chahat Ka Koi Aisa Jawab Do Na
Hum Ko Apni Muhabaton Ke Gulab Do Na

Aoo Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain...


Hadsaa


khawab jalty hain meri ankho'n may

dilrubai kay mosam may

wehshat'on ki ajab kahani hai

teri ankho'n nay jo kahi thi kabhi

wo koi katha' matrook wafa hony ko hai

sochu bhi to dil larazta hai

ajab ek hadsa hone ko hai...!!



Wednesday, June 1, 2011

December K Maheney Main


December kay mhenay may

saal-e-nu ki aahat per

Mera dil

chonk utha hai

kaya koi bichra aa milay ga

yaa phir koi

Hum say judaa ho ga...!!



Hamain Hai Hijar Main Rehna

 Click Image Plz

Teray Hijar Di


Asaa taa joban rutey marna
Mudd jaana asaa bhare bharaaye.
Hijar teri di kar parkarma.
Asaa taa joban rutey marna!

Joban rutey jo vi marda
Phull baney ya taara.
Joban rutey aashiq marde
Jaan koi karma vaala.
Jaan o maran,
Ki jihna likhaaye
Hijar dhuron vich karmaan.
Hijar tuhaada asaan mubaarik,
Naal bahishti khaddna.
Asaa tan joban ruttey marna!

Sajjan ji,
Bhala kis layi jeena
Saadde jihaan nikarma?
Sootak rut ton,
Joban rut tak
Jinhaa handaaiyaan sharmaan.
Nit lajjiya diyaan jamman-peedaan
Anchaahiyaan vi jarna.
Nit kise deh vich,
Phull bann khiddna
Nit taara bann chaddna.
Asaan tan joban ruttey marna!

Sajjan ji,
Paye sab jag taayin.
Garabh joon vich marna,
Janamo pehlaan auddh handaaiye,
Pher handaaiye sharmaa.
Mar ke kariye,
Ik dooje di,
Mitti di parkarmaa.
Par je mitti vi mar jaaye
Taan jyun ke ki karna?

Asaan taan joban rutey marna
Mudd jaana asaan bhare bharaaye.
Hijar teri di kar parkarma.
Asaan tan joban rutey marna!



Yeh Aankhien Kaisi Aankhien Hain


یہ آنکھیں کیسی آنکھیں ہیں


یہ آنکھیں کیسی آنکھیں ہیں
رونے بھی نہیں دیتیں
یادیں اُس کی رات بھر
سونے بھی نہیں دیتیں
دل بھی پاگل دل ہے میرا
اُسے کھونے سے یہ ڈرتا ہے
جو اِک دن ہو کر رہے گا
اُس ہونے سے یہ ڈرتا ہے
پلکیں کیسی پلکیں ہیں
دیکھتے ہی اُسے جھُک جاتی ہیں
سانسیں کیسی سانسیں ہیں
اُس کے آتے ہی جو رُک جاتی ہیں
نندیا کیسی نندیا ہے
اُس کے خواب دیکھتی ہے
ایک چھوڑ پھر یہ
بے حساب دیکھتی ہے
یادیں کیسی یادیں ہیں
کوئی کام بھی نہیں کرنے دیتیں
نہ ہیں چین سے جینے دیتیں
نہ ہی ہیں یہ مرنے دیتیں
خواب بھی کیسے خواب ہیں اُس کے
اتنا مجھے ستاتے ہیں
نیند تو پھر نیند ہے یہ
جاگتے میں بھی آتے ہیں
دنیا کیسی دنیا ہے
مجھ کو اچھی نہیں لگتی
جتنا یقیں دلائے پھر بھی
مجھ کو سچی نہیں لگتی
لب بھی کیسے لب ہیں میرے
سامنے اُس کے بول نہیں سکتے
جو ہے میرے دل کے اندر
اُس کے آگے کھول نہیں سکتے
یہ آنکھیں کیسی آنکھیں ہیں
رونے بھی نہیں دیتیں
یادیں اُس کی رات بھر
سو نے بھی نہیں دیتیں



Halki Halki Barish


Aaj halki halki barish hay,
or sard hawa ka raqs bhi hy,


aaj phol b nikhre nikhry hen,
or un mein tumhara aks bhi hy,


aaj baadal kaley gehray hain,
or chand pay lakhon pehray hain,


kuch tukray tumhari yadon k
bari dair say dil mein thehray hen,


aaj yad bohot tum aaye ho,
aaj yad bohot tum aaye ho.


Woh Bhi Tanha


in habs bhari raato main

jab

sab awazy so jati hain

Aadhi neend ki gayhel si kamhoshi may

Aik khawab anokha jaagta hai

 Main dekhta hoon

gard ki is chader say udher

(jo mery us kay beech tni hai)

Woh b tanha jaag raha hai...!



Meri Mohabbat


Namurad


Mohabbat Aur Kahani


Tumhein kaise bataein hum..
Mohabbat aur kahan i mein koi rishta nahi hota..!
Kahani mein to hum wapas bhi aatey hain
Mohabbat mein palatney ka koi rasta nahi hota..!
Kahan mein to kai kirdar hum khud farz kertey hain
Mohabbat mein koi kirdar bhi farzi nahi hota
Kahani ko kai kirdar mil jul ker kahin agey barhatey hain
Mohabbat apne kirdaroon ko khud agey barhati hai
Kahan mein to kai kirdar zinda hi nahi rehtey
Mohabbat apne kirdaroon ko merne hi nahi deti...
Kahani ke safer mein manzaron ki gard urti hai
Mohabbat ki musafat musafiron ko bikharne hi nahi deti
Tumhein kaise bataein hum...
Mohabbat aur kahani mein ko rishta nahi hota..
Mohabbat ek shajar hai...
aur us shajar ko is se kya matlab
ke us ke saye mein jo bhi thaka hara musafir aa ke baitha hai
ab us ki nasal kya hai rang kesa hai...
Kahan se aaya hai kis dais jana hai..
Shajar ka kam to bas chaon dena dhoop sehna hai...
Tumhein kaise bataein hum...
Mohabbat aur kahani mein koi rishta nahi hota..
Kahani mein to hum wapas bhi atey hain..
 Mohabbat mein palatney ka koi rasta nahi hota...!!!


Usay Mohabbat Nahi Hai


Mian jaanta hoon

Usay Muhbbat nahi hy

Mujh say

Woh to Apni manzil tak

Meray sath chal raha hai

Yeh jo aaj kal

Woh itni chaht jgaa raha hai

her aik janib jo mujh ko raahat dikha raha hai

Main jaanta hon

Usay Muhbbat nahi hy mujh say

Woh apni manzil tak

Meray saath chal raha hai....!!



Mujhe Tum Se Mohabbat Hai


Bahut c Besabab Baatain !
. . .
Faqt Tamheed Hoti Hain
. . .
Jo Aksar Tumse Kehta Hun !
. . .
Suno !
Aur Kaisi Ho ..?
. . .
Suno !
Sardi Bahut Hai Nan ..?
. . .
Naya Mosam To Acha Hai !
. . .
Chalo Acha ! Main Chalta
Hun
. . .
Dubara Phir Mil Lun Ga !
. . .
Ye Saari Besabab Batain ...
. . .
Faqat Tamheed Hoti Hain ..
. . .
Aur Ic Tamheed Main Jana !
. . .
Guzzar Jaate Hain Sab
Lamhe !
. . .
Guzar Jaate Hain Jab
Lamhe !!
. . .
To Phir Main Sochta Hun
. .
K
. .
Zara C Baat Hi To Hai
. . .
Tumhain Jaldi Se Keh Dun
Ga !
. . .
Mujhe Tumse Mohabbat
Hai.!! *





Mohabbat Ki January